Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Gallbladder Stone

Profile Image
Dr. Gaurav BansalGeneral Surgeon • 24 Years Exp.MBBS, MS-General Surgery , FMAS, FIAGES
lybrate_youtube

HI,

Mai Dr. Gaurav Bansal, mai consultant general and laproscopic surgeon hoon. Mai routine sari jitni bhi general laproscopic surgeries hain routinely kar raha hoon. Aaj hum kuch discuss karenge kuch common surgery ke baare mein jaise pitt ki thaili mein pathri ya gallbladder stone. Yeh ek bahut common bimari hai north India mein jisse aapke relatives ya aapko kabhi na kabhi pareshani huyi hogi. Gallbladder stone kayi type ke hote hain, cholesterol stone ho sakte hai jo charbi hoti hai ya pigment stone ho sakte hai ya mixed ho sakte hai. Ye kisi bhi umar ke bache ko ya bade ko ya kisi badi umar ke aadmi aurat ko ho sakta hai, koi specific age fixed nahi hai kab pith ki thaili mein pathri hogi. Size kayi log baat karte hai size pith ki thaili mein stone ki usse to kuch matter nahi karta hai. Gallbladder stone jo hai generally khaan peen ki vajah se jo hamara north India mein khaan peen hai kafi oily aur greasy hai uski vajah se generally ye bante hain aur kayi karand ho sakte hai jaise motapa hota hai, ya fir kuch ko dil ki problems hai unki vajah se ho sakta hai ya fir apne kafi tezi se vajan lose kiya ho usse ho sakta hai ya kuch blood ki problem bacho mein hoti hai tab ho sakta hai.

Gallbladder stone generally ultrasound mein ya fir CT scan mein detect ho pate hai. Kayi mareezo ko kafi lambe time se gallbladder mein stone hota hai nahi pata chalta hai, kabhi routine check up kara lete hai, ultrasound karate hai tab pata chalta hai. Pith ki thaili mein pathri ke kayi lakshand ho sakte hai jaise upar ke hisse mein ya pet ke hisse mein dard ho, ya fir upkayi aana ya fir ulti ka mann hona ya kabhi rat mein heavy khana khaa liya, oily khana kha liya usse dard hogaya iss type ki takleef ho sakti hai aur kafi lambe time tak pathri agar rehti hai shareer mein uski vajah se pith ki thaili mein soojan aa sakti hai, pith ki thaili kaali pad sakti hai, fat sakti hai, hamara ek organ hota hai angashya jo khana pachane mein madad karta hai uske andar soojan aa sakti hai jiski vajah se peeth mein dard ho sakta hai, piiliya bann sakta hai. Jab kabhi bhi pith ki thaili mein pathri detect hoti hai kaide se uska operation kara lena chahiye, koi bhi medical treatment nahi hai pith ki thaili ki pathri ka, koi ayurvedic ya homeopathic treatment nahi hai. Kuch log bolte hai ki yeh dawaiyan lein, theek hojaenge, yeh juice pee lein, apple juice pee lein, apple cidar le lein theek hojaenge lekin unka koi bhi abhi tak scientific basis nahi hai jisse ye pith ki thaili mein pathri theek hoti hai.

Bahut chote kankad ho agar 1mm, 2mm ke hote hain to kuch umeed hai samay ke sath apne aap ghul jaye lekin koi bhi scientific abhi tak ilaaj pith ki thaili ki pathri ka nahi hai. Jo operation hota hai ajkal bahut refined ho gaya hai, laproscopy se hota hai ya laser jisko bolte hai hota hai aur naye vikalp aagye hai minilap aur single incision jo ab routinely ho rahe hai. Pith ki thaili aur pathri dono hi nikalti hai yahi ek universal operation hai, iske ilawa koi ilaaj nahi hai aur agar hum laser se operation karte hai ya doorbeen se operation karte hain to mareez 1-2 din hospital mein rehta hai, agle din se chal fir pata hai, 6 ghante baad hum usko khana peena de sakte hai, koi cut ka nishan, koi bada cheere ka nishan nahi aata hai. Agar aap pith ki thaili ko pathri ko lambe time tak rakhte hai shareer mein to dikkatein ban sakti hai jaise maine bataya pith ki thaili mein soojan, angashye mein soojan, piliya, pith ki thaili kaali pad sakti hai aur fat sakti hai.

Ek hamare logo mein galat dharna hai ki pith ki thaili aur pathri nikalne ke baad hume khana hazam nahi hoga jo bahut common hai, aisa routinely humne kabhi nahi dekha, hamare jotne bhi patients hai operation kara ke sab kuch khaa pee rahe hai, sirf hum advice karte hai ki tala bhoona khana operation ke kuch time nahi khana hai gradually body adapt kar jati hai aur aap sab kuch khaa pate hain. Vaise bhi aaj ke routine health mein jo hamari physical activity aur sab cheeze hai usme hum yahi advise karte hai sare doctor advise karte hai ki aap tala hua aur bahar ka khana na khaye taki aapko BP, sugar, thyroid jaisi bimaiyan na bane. Toh hamara sirf pith ki thaili ka operation karne ke baad ek hi advise hota hai low fat diet matlab bahut hi fried food nahi khana hai aur mera sujhav yahi rahega agar aapko ya aapke kisi bhi relative ko pith ki thaili mein pathri detect hoti hai ya uski vajah se tez dard hota hai to uska operation samay rehte turant karaye aur uspe wait na karein.

Dhanyavad!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Gallstones treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details