How to Detect Diabetes
Symptoms and Tests to Diagnose Diabetes
Hello friends. Mai Dr. Hanish Gupta hun jo ki diabetes se sambandhit kuch information aaj aap log k saath share karne aaya hun. Mai Delhi sheher mein practice karta hun aur Lybrate ka aabhari hun ki Lybrate mujhe ye awasar de raha hai ki mai aap ke saath diabetes k uplaksh mein kuch baate discuss kar sakta hun. Sab se zyada bechida sawaal jo mai logon se sunta hu jo vastavik mein ek simple sawaal hai wo ye hai k kya diabetes mujhe hai bhi ya nahi. Har insaan janna chahta hai k diabetes ya mudhume jaisi bimaari usey grasth kar rahi hai ya nahi. Well iska jawab aap ek simple blood test k dwara kisi bhi laboratory mein test karwa paa sakte hai. Agar aap ki fasting blood sugar 126 se zyada hai wo bhi 2 awsaro par na ki ek awsar par to aap ko diabetes ka mareez ghosith kiya jayega.
Aur isi uplaksh mein ek aur, isi samdhar mein ek aur test hota hai jo ki hai glycocelated Haemoglobin jise aasan bhasa mein HB-A1C test kaha jaata hai. Is test dwara aap ke 3 mahine k blood sugar ki ausaad pata lagayi ja sakti hai. Is test ka humein result percentage mein milta hai. Agar ye test 6.4% se zyada kisi bhi mareez mein paya jaata hai to use bhi diabetes ka mareez ghosith kia jaa sakta hai. Dosto diabetes itni bhi bechida bemari nahi hai jitna isko banaya jaata hai. Diabetes ko pata lagane k liye kewal ye 2 test mehetwapoorna bhi hai aur purna taur pe poore bhi hai jiske dwara aap diabetes k baare mein pata bhi laga sakte hai. Kuch aisi baate aur bhi hai jo mai aap ke saath discuss karna chahta hun.
Well, agar aap ke parivar me koi aisa sadasya hai jise diabetes hai ya aap ki umar 40yrs se zyada ho chuki hai ya aap ko sudden unexplained weight loss hai ya aap wazan me zyada hai ya aisa hai ki kuch dino se aap ko kuch zarurat se zyada bhukh lagne lagi hai ya zarurat se zyada peshaab aane lag gay ahai to aap ko diabetes ka test karana aniwarya hai. To dosto in vishesh baaton ka agar aap dhyaan rakhege to aapno ko aur aapne parijano ko diabetes jaisi bimaari se bacha sakte hai. Mere se sampark karne k liye aap kabhi bhi Delhi me mere clinic ka address Librate dwara paa sakte hai. Dhanyawad. Hello friends. Mai Dr. Hanish Gupta hun jo ki diabetes se sambandhit kuch information aaj aap log k saath share karne aaya hun.
Mai Delhi sheher mein practice karta hun aur Librate ka aabhari hun ki Librate mujhe ye awasar de raha hai ki mai aap ke saath diabetes k uplaksh mein kuch baate discuss kar sakta hun. Sab se zyada bechida sawaal jo mai logon se sunta hu jo vastavik mein ek simple sawaal hai wo ye hai k kya diabetes mujhe hai bhi ya nahi. Har insaan janna chahta hai k diabetes ya mudhume jaisi bimaari usey grasth kar rahi hai ya nahi. Well iska jawab aap ek simple blood test k dwara kisi bhi laboratory mein test karwa paa sakte hai. Agar aap ki fasting blood sugar 126 se zyada hai wo bhi 2 awsaro par na ki ek awsar par to aap ko diabetes ka mareez ghosith kiya jayega. Aur isi uplaksh mein ek aur, isi samdhar mein ek aur test hota hai jo ki hai glycocelated Haemoglobin jise aasan bhasa mein HB-A1C test kaha jaata hai. Is test dwara aap ke 3 mahine k blood sugar ki ausaad pata lagayi ja sakti hai. Is test ka humein result percentage mein milta hai. Agar ye test 6.4% se zyada kisi bhi mareez mein paya jaata hai to use bhi diabetes ka mareez ghosith kia jaa sakta hai.
Dosto diabetes itni bhi bechida bemari nahi hai jitna isko banaya jaata hai. Diabetes ko pata lagane k liye kewal ye 2 test mehetwapoorna bhi hai aur purna taur pe poore bhi hai jiske dwara aap diabetes k baare mein pata bhi laga sakte hai. Kuch aisi baate aur bhi hai jo mai aap ke saath discuss karna chahta hun. Well, agar aap ke parivar me koi aisa sadasya hai jise diabetes hai ya aap ki umar 40yrs se zyada ho chuki hai ya aap ko sudden unexplained weight loss hai ya aap wazan me zyada hai ya aisa hai ki kuch dino se aap ko kuch zarurat se zyada bhukh lagne lagi hai ya zarurat se zyada peshaab aane lag gay ahai to aap ko diabetes ka test karana aniwarya hai.
To dosto in vishesh baaton ka agar aap dhyaan rakhege to aapno ko aur aapne parijano ko diabetes jaisi bimaari se bacha sakte hai. Mere se sampark karne k liye aap kabhi bhi Delhi me mere clinic ka address Librate dwara paa sakte hai. Dhanyawad.