Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

How To Treat Infertility?

Profile Image
Dr. Ruchi MalhotraIVF Specialist • 33 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, DNB - Obstetrics & Gynecology, DGO
lybrate_youtube

Namashkar,

 Mai Dr. Ruchi Malhotra aaj aap ke liye ek naya video lekar aayi hoon jisme mai aap se discussion karungi ki infertility ki kya testing ki ja sakti hai aur kya testing karni chahiye. Jaisa ki aap sab ko ab tak pata lag gaya hai ki infertility ek aisi condition hoti hai jisme ek couple jo sath mein reh raha ho bina contraception ke ek saal tak agar pregnancy nahi ho pati hai to usko hum infertility kehte hai. To jab ek infertility ki samsya ek dampati ke samne aati hai to hamare ko kya karna chahiye. Sabse pehle cheez to hai ki hame ek infertility specialist ya infertility visheshagya ke paas jakar apni baat batani chahiye ki ek saal se hum log bina contraception ke hai aur hamare ko pregnancy nahi ho pa rahi hai.

Uske bad mein 3 basic test mai aaj aap ko bataungi jo bohot jaruri hai jo ye batate hai ki infertility testing hame kaise lekar aage badhna chahiye. To 3 basic testing mein most important test is ultrasound. Theek hai. Ultrasound jo hota hai uske andar hum puri andar bachchedani ki condition, tube ki condition, andedani ki condition ye sari cheeze hum log ko bohot detail mein pata lag jati hai aur mukhya kaaran infertility ke ek acche ultrasound se hi diagnose ho jaate hain. To jab hum ultrasound karte hain hum uske andar bachchedani yani ki uterus ke aakar ko dekhte hain, uterus ke size ko dekhte hain, uterus ke bachchedani ki lining ko dekhte hain ki jaha par hum log bachcha implant karte hai vo bachcha vaha accept ho payega ke nahi, bachchedani ke andar koi gaanth hai to ye bade aasaan roop se ultrasound ke andar pata lag jati hai. Dusri cheez hai jo andedani hai, andedani ka bohot mahatvapurand yog kisi bhi infertile couple ke life mein kyunki andedani mein kis akar ki hai, kitne size ki hai, uske andar koi cyst to nahi hai vo sari cheeze hame andedani se pata lagti hai.

To ek hum log count karte hai jisme hame pata lag jata hai ke is andedani mein is tarah itne ande hame shayad mil paenge jab hum uska ilaaj shuru karenge jisko hum bolte hai AFC ya antral folicular count. To andedani mein hum AFC dekhte hai. Bachchedani mein hum bachchedani ka size dekhte hai aur fir aati hai tubes. Tubes ke andar kahi bhi koi bhi agar jaise paani bhara ho, jaise hydrosalpinx ho ye sari condition ya fir vo ek gunjal bani huyi ho, infection ho ye sari cheeze hame ultrasound se hi sirf pata lag jati hai. Dusri important cheez hai ki hame tubes ka pata karna bohot zaruri rehta hai ki tubes khuli huyi hai ki tubes band hai. To iska ek basic test hota hai jisko bola jata hai HSG ya fir hysterosalpingogram. Is basic test se hum log aap ko ye bata sakte hain ki aap ki tube khuli hai ya tube kahi se aakar mein, banavat mein theek nahi hai ya uske andar paani bhara hua hai. To kahi bhi tube blockage hoga to bhi pregnancy hone ke chances bohot kam ho jate hai.

Aur teesra test hai bohot simple sa test hai jo male partner ka kiya jata hai jisko semen analysis bola jata hai. To uske andar hum semen mein number dekhte hai shukraduyon ka number dekhte hai, uski motility dekhte hai, uski morphology dekhte hain ki woh kaise chal rahe hain, uska aakar kaisa hai, uske andar koi infection to nahi hai; to ye sari ek hame normal semen test ke andar detailed review karne se hame ye sari cheeze pata lag jati hai. To basic 3 tests, keval 3 test ek ultrasound jisko trans-vaginal ultrasound karna padta hai jo hum internal ultrasound bolte hain, second is hysterosalpingogram jo HSG hai and third test semen analysis. Ye 3 test are main basic test jinse hum puri aapki infertility ki problem ko diagnose karke uska treatment plan kar sakte hai. To jab aap kahi bhi jate hai to ek dheer sare testing karane ki zarurt nahi hoti hai, infertility clinic mein jayenge to ye main test ke adhaar pe hi baki testing ko decide kiya ja sakta hai.

Thank you very much.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Infertility treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details