Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Infertility

Profile Image
Dr. Nikhil SharmaUrologist • 22 Years Exp.MBBS, MS - General Surgery, DNB (Urology)
lybrate_youtube

Namaskar!

Main Dr. Jayshree Pathak. Aaj me apko apki common queries ka answer krungi. Sabse pehle me apko infertility ke bare me btaungi. Infertile vo couple hai jo 1 saal tak regular intercourse krne ke baad bhi conceive nhi kar pate. Iske lia aap doctor se milen or unka suggestion len. Isk dusra reason hai late marriages. Ek lady ki body me kafi changes hote hain jis se fertility decrease hoti hai. Infertility aaj ke time me bhut common hai. Unhealthy lifestyle iska major cause hai. Hmara sedentary lifestyle, pollution, unhealthy diet, weight gain iske cause hain. Stress bhi iska ek cause hai. Agar aap janna chahte hain ki aap infertile hain ki nhi to doctor ke pas visit kren qui vo husband and wife dono ka kuch test krenge.

Husband ka semen analyse kia jata hai. Isse pta chalta hai ki sperm quality kya hai. Agar koi proble ata hai analysis me to husband ka blood test, ultrasound bhi kia jata hai. Testicular biopsy kia jata hai. Woman ka bhi test kia jata hai jaise egg formation kya hai, transvaginal ultrasound kia jata hai jisme lady ka womb bhi dekha jata hai. Cyst and fibroid check kia jata hai. Basic blood test bhi kia jata jaise thyroid and prolactin. Apko laparscopy bhi suggest kia jata hai. Laparoscopy 2 types ki hoti hai. Diagnostic and operative. Laparoscopy se diagnose kia jata hai ki problem kya hai. and uske baad operate kia jata hai. Agar cyst hai to use nikal dete hain.

Tube ko kholne ki koshish krte hain. Agar unexplained infertility hai jisme miscarriage ho rha hai ya fir womb me kuch problem hai to hum hysteroscopy krte hain. Is se hum ye bhi dekhte hain ki septum or tuberculosis spot to nhi hai, jinhe correct kia ja skta hai. Iska treatment diagnosis pe depend krta hai or dekha jata hai ki kya apko sirf counseling ki hrurat hai ya medicines ki. Isko ovulation induction time intercourse. Next technique hai IUI jisme sperm wash kr k garbh me daala jata hai.

Agar ye bhi successful na ho to doctor apko IVF suggest krta hai. Isme ICSi and IMSI procedures available hain. 30% couple ki infertility unexplained hai. Aise patients me IUI kafi successful hai. Iska treatment bhut jruri hai. Baki suggestion yhi hai ki aap shi time pe doctor se suggestion len. Apko and apki family ko stress nhi lena hai. Apko doctor se suggestion lena hai and shi decision lena hai khud ke lia. Siddhi Uro and Gynae Care me hmara objective hai ki hum apko shi salah den or fir aap decide kren ki apko kya krna hai or kya treatment lena hai.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Infertility treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details