Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jul 26, 2023
BookMark
Report

Infertility In Males

Profile Image
Dr. S.K. KaushikSexologist • 32 Years Exp.MBBS
lybrate_youtube

Hello doston,

I am Dr. Kaushik Sexologist in Gurgaon. Aaj hum discussion karenge actually purushon mein banjhpan ka(infertility in males). Mainly dekha gaya hai ki purusho ke ander banjhpan ki shikayat jyada hoti ja rahi hai jo bhi banda shaadi karta hai shaadi karne ke baad mein usko do saal tak, miya-biwi dono comfortably saath mein rehte hain uske baad bhi unko do saal bacche paida nahi hote to unse yahi jahir hota hai ki kahin na kahin infertility ki problem hai, male main bhi ho sakta hai female main bhi ho sakta hai but 50% chances hote hain ki male main infertility ke jyada chances hote hain. Commonly hamare samaj mein log females ko jyada indicate karte hain but hota kya hai ki male ke jo sperm hote hain wo bhi kahin na kahin affective hote hain jin ki wajah se female pregnancy nahi ho pati hai aur usi ke baare mein hum aaj discuss karenge isi ke bare mein hum aage baat karte hain.

Actually bachpan se hi life start ho jati hai bachpan mein jis bache ko mumps hote hai khaskar mumps ek chhoti bimari hoti hai jo bachpan mein hoti gale ke charon taraf swelling ho jati uski wajah se kya hota hai ki orchitis ho jata hai, testis me swelling ho jati hai aur testis mein swelling hone ki vajah se bachcha badhta hai, umar badhti hai uski tu usi hisab se uske testis mein inflammation ki vajah se azoospermia ki takleef ho sakti hai. Dusri cheez hai Jo khelte samay kahin testis mein kahin koi chot lag jane se ya koi fibroid ho jane ki wajah se, testis mein koi bhi inflammation hota hai wo actually infertility ko indicate karta hai yaniki individual ke jo testis hote hain usi ke andar sperm collection hota hai, usi mein semen collection hota hai usko agar kahin bhi koi chot lagti hai ya koi inflammation hota hai to wo aapki infertility par affect karta hai. Third thing hai jo aaj kal ek naya trend chala hua hai bacche jo gyming karte hain aur gym mein ja kar ke wo kafi anabolics steroids lete hain, steroid khate hain, protein lete hain to uski wajah se bhi unke kafi effects hote hain, unki vajah se bhi hamare testicules mein affect hota hai aur steroid ke Jo side effect hai in tarah ke for infertility.

Fourth thing hai smoking, smoking bahut jyada khatarnak item hai actually kyunki smoking ki wajah se jyadatar logon ke semen mein bahut effect padta hai, semens ki viscosity, velocity saath mein uski shape sabhi cheezon mein changes aata hai. Fifth reason hota hai ki jyadatar log aaj kal laptop, mobile bahut jyada use karte hain to laptop ko pet par rakh ke kaam karne se aur jo testis ka temperature hota hai wo jyada badh jata hai baar-baar uski wajah se bhi ye ek jo hain na infertility ka hai kyunki testis ka temperature minimum 35 degree se 36 degree hi hona chahiye isse jyada agar high temperature badhta hai testis ka to infertility ka karan banta hai testis mein jo hamare khaas kar Semen hote hain us par effect hota hai to isliye body ka jo temperature normal 37.4 degree hona chahiye, 36.4 degree ya 36.8 degree hona chahiye normally ya 37 degree hona chahiye isse testis ka temperature kam hi hona chahiye ek ya do degree kam hona chahiye agar tests ka temperature jyada hota hai aur body ka temperature kam hota hai to hamare semen destroy hote hain aur jaise ki jo log high temperature company mein kaam karte hain koi sheesha banane ki company mein kaam karta hai koi aur Jahan pe high temperature volume wali jo companyshoti hoti hai wahan par jo log kaam karte hain unko infertility ka jyada chances hote hain.

Aage hum iski savdhani aur iske ilaaj ke baare mein baat karte hai. Jo mumps wagera jin bachchon ko hote hain un mein hum logo ko vaccination lagwa na chahiye bacchon ko jisse ki mumps na ho. Dusri cheez jo bhi sports wagera khelte hain usme hame testis support use karni chahiye. Third thing smoking ko ek dum se avoid karna chahiye kyunki smoking kya karti hai ki semen ki viscosity, velocity, density and uski shape ko destroy karti hai isliye hame smoking ko avoid karna chahiye, jo bande high temperature company mein kaam karte hain wahan par unko ya to apne cool temperature pad pehne testis par use karne chahiye ya us temperatures ko avoid karna chahie. fourth thing hai ki hame body ke temperature ko maintain karna chahie, balanced diet leni chahiye, healthy environment hona chahiye, balances diet lein, healthy environment mein rahien aur normally meditation, yoga, wagera karein aur baaki agar koi is tarah ki problem hoti hai to jarur doctor se salaha lein aur dhilaai na dein isme.

Thank you!

In case you have a concern or query you can always consult an expert & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Obesity treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details