Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Infertility: What Puts You At Risk?

Profile Image
Dr. Ruchi MalhotraIVF Specialist • 32 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, DNB - Obstetrics & Gynecology, DGO
lybrate_youtube

Namaskar!

Mai Dr. Ruchi Malhotra FS IVF Centre mei infertility specialist consultant hoon. Mere paas bahut mariz jinke har jagah treatment fail ho chuki hai voh ate hain or unko yahin success mila hai. Aaj main aapko bataongi ki infertility kya cheez hoti hai aur uska treatment ke liye hamare paas kya kya option hai. Aajkal ke time mein jab mahila aur uska husband saath mein rehte hain or ek saal tak pregnancy nahi ho pati hai toh hum usko infertility kehte hain. Infertility jab patient hamare paas aata hai to hame kuch testing karni hoti hai jis se hame ye pata lagta hai ki usme kya problem hai jis wajah se us couple ko pregnancy nahi ho pa rahi hai. Iske baare mein kuch aap ko samjhana chahungi.

Infertility mein bachha na hone mein 50% contribution husband ka hota hai aur 50% contribution wife ka hota hai. Husband ki testing main toh bahut simple cheez hai. Semen check kiya jata hai jis mein hum sperm ka number dekhte hain, uski motility dekhte hain ki woh kitne chalte hai, woh dekhte hain. But female mei, cheezein thodi si complicated hoti hai. Yahan pe main aapko samjha paongi. Yeh ek female reproductive system hai. Yeh do andedani hoti hain yani andkosh. Yeh do nalee hoti hain tubes jinko bola jata hai aur yeh bachedani hote hai. Normal course mein anda yahan se nikal kar tube k andar jata hai or yahan husband ke semen se mil k bachedani main tyar hoke bachha badta hai. In main se kuch bhi, kahin bhi agar problem ho to pregnancy age thahertei nahi hai ya badti nahi hai. Jaise ki ande. Ande main kahin khrabi hai. Jaise ajkal Polycystic ovary kafi logon ko hai.

Ya phir hormone ki koi aur kami ho, ya thyroid ho. In sab vajaha se anda nahi banta hai. Doosra agar anda ban raha hai aur tube main kahin bhi blockage hai, jaise TB k vajha se blockage hai, ya pehle kabi pregnancy hue uske vajha se blockage ho sakti hai. Tab yeh anda tube main se hoke is bachedani mein nahi jata. Jab anda yahan nahi paonchega toh pregnancy hone ke chances bilkul zero ho jate hain. Teesri cheez bachedani ke ander koi problem ho sakti hai. Jaise bachedani ke ander koi fibroid ho sakta hai, ya septum ho sakta hai, ya tuberculosis ho sakta hai ya endometerosis ho sakta hai. In sab situations mein bhi pregnancy aage nahi badd sakti.

Toh jab aap ek doctor ke paas jate hain, ek specialist ke paas jate hain toh vo apko identify kr ke btate hain ki apki problem kya hai or uss problem ka kya samadhan hai. Aaj ki date mein hamare paas most problems ka samadhan hota hai. Jaise ande nahi ban rahe hain to hamere paas injections hote hain jin se hum ande bana sakte hain. Tube blockage hoti hai to hame IVF karna padta hai. Bachedani mein koi problem ho to Histeroscopy kr ke hum bachedani thik kar sakte hain. Yeh sare cheezein specialist hi aapko guide kar sakte hain ki kaise aapko aage badhna hai apne treatment ke liye.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Infertility treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details