Infertility: Why You Need To Improve Your Lifestyle?
Namaskar! Mai Dr. Pradnya Aptikar hoon. Thana mei practice kar rahi hoon kai saalon se. Meri jo practice hai, usmein main infertility ke patients treat karti hoon.
Aaj is video mein hum baat karenge infertility ki hi. Ismein kai patients ki report to normal aati hai, phir bhi vo conceive nahi kar paate hain. Ya phir jo test tube baby ke liye bhi jaate hai, jisko Artificial Reproductive Technology kahte hain- IUI ho ya test tube baby ho, embryos taiyaar hone ke bavjood bhi wo implant nahi ho paate. Toh yeh cheez ke bare mei mai aaj batane ja rahi hoon.
Isme bahut baar aisa hota hai ke jo endometrium lining hota hai , vo bahut thin hota hai. Jaise ki jo normal endometrium ki thickness hoti hai , voh 7 ya 8 mm ke uper hone chiye. Lekin koi koi patients mein pehle se hi kabhi kabhi hormones ke ulta palat ho ya kabhi kam zyaada ho , uske vajah se ya phir TB ki shikayat ho, kise ko pait ka TB ho sakta hai uske vajha se ya phir koi dietary inadequacy ho ya phir koi lifestyle disorder ho uski vajha se. Kabhi kabhi baar baar bachedani saaf karne se jise diancie bolte hain, frequent diancie karte hain uske vahja se endometrium thickness jo hai , voh kam ho jata hai. Voh kabhi kabhi 5 ya 6 aisa hota hai. Toh usmain bacha rehne k receptors hote hain voh kam ho jate hain.
Kabhi kabi uske ander jo blood suply hota hai vo kam ho jata hai, toh uske vajha se bache conceive nahi ho pate hain. Implantation vo jo embryos transfer karte hain test tube baby mein , voh bhi kabhi kabhi implant nahi ho paate hain ya kabhi kabhi implant ho bhi jate hain toh voh missed abortion ya phir jaldi hi pahle ya doosre mahine mein abort hoke gir jaate hain. Toh aise mein hamara ayurved kaise kam karta hai? Ismain ayurved mein hum dietery habits badalte hain, lifestyle changes krne ke liye hum aapko salah dete hain aur kuch uttarpasi jaise treatment hain Panchakarma aur pait main bhi dava dete hain.
Toh isse hame kaafi faayda hota hai or bachha jaldi reh sakta hai. Lekin iske liye aur bhi kuch cheezein hamein karni padti hain , jiske liye aapko mere se appointment leni padegi. For more information you can contact me through Lybrate.com aur agar appointment bhi book karni hai toh Lybrate.com se book kar sakte hain. Thank you so much!