Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Joint Replacement Procedure - An Overview

Profile Image
Dr. Ashwani MaichandOrthopedic Doctor • 33 Years Exp.Fellowship in Joint Replacement , M.Ch , MS - Orthopaedics, MBBS
lybrate_youtube

Namaskar,

I am Dr. Ashwani Maichand, Orthopedist. Aaj main aap logon se joint replacement ke baare mein discuss karunga. Aisa maana jaata tha ki old age mein patient knee replacement karate hai, but last kuch years se hamare paas young patients aa rahen hain. Inko problem hota hai avascular necrosis (AVN), ankylosing spondylitis ya fir rheumatoid arthritis ki, jisme patient ke hip joint kharaab ho jaate hain.

Aisi age mein patient kaafi demanding ho jaata hai kyuki unhe abhi sab dekhna hai like job and family. Patient ki initial demand hoti hai ki 25 ki age mein new joint kitne saal chalega. 2nd demand ye hai ki humein kayi chizon me niche baithna padta hai. Isliye kuch aisa ho jo 30-35 years chale and patient zameen pe baith sake. Iske liye hum ceramic hip replacement use karte hain.

Purane treatment me humein 15 years ke baad dobara surgery karni padti thi. Lekin ab latest technology me humara implant 30-35 years chalta hai and patient zameen pe bhi baith sakta hai. To agar aap young hain to aapko latest technology se hi treatment lena chahiye hip replacement ke liye. Isse apko acha result milega and surgery baar baar nahi karani padegi.

Thank You.

 

 

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Joint Pain treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details