Kidney Stones And Urinary Stones
Namaskar!
Main Dr. Shalabh Agrawal, Senior Consultant Urologist and Endrologist. Aaj me apko kidney and urinary stones ke bare me btaunga. Ye myth hai ki gallbladder and kidney stones ek hi hote hain. Kidney stones ek mineral deposits hain hmare urinary tract me. Kayi bar kuch medicines lene se hi stone formation hota hai. Ye stones bante kyu hai. Jab salt high ho jata hai urine me, uski vjha se stone ka problem hota hai. Pani and minerals ke bich me imbalance hona iska major cause hai. Kayi bar ye problem genetic bhi hoti hai. Kayi bar urinary tract ki deformities bhi iska cause hai. Agar urine ka flow ruk rha hai body me to vo ek reason hai stones formation ka. Kuch common causes hai urinary obstruction, prostatic hypertrophy.
Iske alwa jin logon ko lambe infection hote hain urinary tract ke ya foreign body hai, spinal cord ke patients hain, un sab me ye stones bante hain. Stones ke symptoms depend krta hai ki stone kha hai. Stone kidney or ureter tubes, urinary bladder, prostate urethrae inme khin bhi ho skta hai. Jhan bhi stone hota hai vhan pain hota hai. Agar ureter tubes me stone hai to apko kidney me bhi pain ho skta hai. Kabhi kabhi pain thighs me bhi ho skta hai. Iske symptoms hai frequent urination, burning or blood in urination. Agar ye jyada severe ho jaye to andar infection hone ke kafi chances hain. In sab ko consider kar ke hi hum investigate krte hain or fir diagnose krte hain.
Agar apko ye symptoms hai to urologist se mile jisme apka ultrasound hoga or dekha jayega ki stone hone ki sambhavna hai ya nhi. Stones ko dekhne ke lia CT scan hota hai. Stone dekhne ke bad iska treatment dia jata hai. Treatment 2 types ka hota hai. Medication or surgery ke through. Jo 5mm se chote stones hote hain, vo apne aap nikal jate hain. Iske lia hum conservative management kr skte hain. Isme apko bhut jyada pani peena hota hai. Iske alwa kuch medicines hoti hai jo stones ko khtm krne me help krti hain. Lekin koi bhi medicine stone ko melt nhi krti hai. Jo stones in treatment se nikal pate hain uske lia hum surgery krte hain. Surgical treatment laser se dia jata hai.
Urine ke raste se hi durbin ke through stones ko tod dia jata hai. Alag alag operations hain jaise URS, ESWL, PCNL. Ab me apko ye btaunga ki isko kaise aap prevent kar skte hain. Iske lia apko paani jayada peena chaiye. Din me apko 2-2.5 litre pani peena chaiye or itna hi apko urine aana chaiye. Agar aap sports me hai or field work me hain to apko apna pani ka intake badhana hoga. Aap nembu pani, lassi, nariyal pani or shikanji bhi le skte hain. Achi diet lene se bhi apka stone banne ka chances kam ho jate hain. Diet me jo chizen stones ko banne ki parvati badhati hai vo hai green leafy vegetables, chocolates, coffee, tea, dry fruits, seeds vali sabzi like brinjal, bhindi, tomato. Apko balanced diet lena chaiye. Apko less salty and less protein and fat intake krna chaiye. Pani ka intake jyada hona chaiye. Ye sab best hai stone prevention ke lia.
Thank You!