Kidney Stones
Hi,
I am Dr. Suresh Kumar Bhagat, Urologist. Aaj hum aap ko kidney stone ke baare mein btayenge. Kidney stones ko kabhi bhi andekha na karein. Agar aap ki kidney mei 4-5mm ka stone hai toh pani jyada peejeye lekin ek baar urologist ki salah jarur lein. Yadi vahi stone ureter mein aake fus jata hai toh vo aap ke gurde ko nuksan phucha sakta hai. Jyadatar yahi dekha gaya hai ki 6mm se chote stones nikal jaate hai. Stones ka problem jyadatar un logon mein dekha jaata hai jo bahar kam karte hain and paani kam peete hain ya fir patient ki family mein vo bimari run kar rahi hai ya fir unmein ye problem hoti hai jo mountains ya fir desert jaisi jagaha mein rehte hain. Isliya main aap ko ye suggest karta hun agar aap ko stones hai toh urologist se consult karein. Unse khaane peene ke baare mein puche ki kya khana chahiyai and kitna paani peena chahiyai.
Agar aap ka stine 5-6 mm se bada hai toh stones ki problem aap ke liya dangerous ho sakti hai. Aur agar aisa stone hai toh aap ko niklvana chahiyai kyuki aise case mein apne aap stones nikalne ka instances kam hota hai. Aise stone ko ignore nahi karna chahiyai. Jarur urologist se consult karein kyuki agar aap ko fever ho raha hai ya vomiting ho raha hai toh aap ko kidney mein infection ho sakta hai. Isliya aapke ureter ka kam karna kabhi bhi band ho sakta hai. Logon ko lagta hai ki ayurveda medicines lene se stone dissolve ho jata hai. Agar stone 4-5 mm ka hai toh stone dissolve ho jayega lekin aap ko diabetes nahi hona chahiyai, single kidney nahi hona chahiyai, aap ko fever nahi aana chahiyai.
Aise condition mein aap 2-3 weeks wait kar sakte hain. Paani piyein and Dr se consult karein. Agar aap ka stone nahi nikal raha hai toh use nikalne ka bahut hi easy method hai. Endoscopy method se nikala jaata hai. 6mm se bade stone ka apne aap nikalne ka chance bahut kam hota hai. Isliye urologist ka suggestion leke use nikalwayein. Aur puchein ki aisa kya karna hai ki kidney stones aap ko baar baar na ho. Sabse easy way hai ki paani jyada lein. Aap ko kaise pata chalega ki aap pani sahi matra mein le rahein hai. Aap ka urine color paani jaisa hona chahiyai. Main aasha karta hun jo maine aap ko kidney stones ke baare mein bataya hai vo aap ko samajh aaya hoga.
Thank You.