Knee Related Problems
Hi,
I am Dr. Rakesh Kumar, Orthopedist. Me apko aaj knee and usse related problem ke bare me btana chahunga. Ye 3 bones ko mila kr banta hai femur, tibia, patella. Inke fracture open surgery se hi thik kia jate hain. Lekin ligament injury and ACL (anterior cruciate ligament) injury, posterior cruciate ligament or meniscus injury durbin se thik ki jati hai. Hum knee ko repair krte hain. Sabse jyada injury mediale meniscus me hoti hai or lateral meniscus me kam injury hoti hai. Agar in dono me se kuch bhi damage hota hai to vo bone ko rub krega. Is ke treatment me agar pura damage hai to hum ise pura nikal dete hain.
Aaj kal hmari koshish hoti hai ki isko hum repair kr den. Repair krne se hmara joint filler ka kam krta hai. Isko krne se joint contact area kafi badh jata hai. Bone ka stress ek dusre pe bhut kam hota hai. Bone kharab hone se arthritis ke chances bhi badh jate hain. Inko repair krne ke lia hum multiple ligaments lete hain. Sab tendons ko leke multi ligament injury ko repair kia jata hai. ACL repair krne se anterior rukta hai knee ka and PCL repair krne se posterior rukta hai knee ka. Hum implantation technique use krte hain. Ab ek new procedure me hum cartilage ko lete hain. Usko culture ke lia bhejate hain and vapas re-implant krte hain. Agr uske baad bhi knee khrab hota hai to replacement ki jrurat pdti hai. Replacement kafi successful procedure hai.
Thank You!