Know More About Infertility
Hello, everybody. I am Dr Pradnya Aptikar, practising as an Ayurvedic Gynaecologist in Thane from last 17 years. I am an Infertility specialist. Is video me hum baat karenge Common cause of Infertility ke baare me which is Tubal block.
Isme fallopian tube block hone ki wajah se natural conception nahi ho pata hai, to patient ko Infertility ki problem face karni padti hai. To hum thoda samah lete hai ki ye Tubal block kya hai aur Ayurved isme kya kar sakta hai?
To jese ki aap yahan pe dekh rahe hai ki ye uterus hai, or ye fallopian tubes hai and ovaries. Periods ke 14th-16th day pe alternate ovaries se ek ek egg nikalta hai. Aur vagina se sperms ooper chale aate hai. Aur sperms agar acche hai to ye chale aate hai fallopian tube me aur ye egg ko fodd dete hai, jise hum kehte hai Fertilization. To ye fertilization tube main hota hai. To agar in tubes me swelling ho, ya tuebs blocked ho, paani udhar jama hua ho, to yeh tubes kaam nahi karti hai aur idhar fertilization ki process ho nahi paati hai. Iski wajah se fir Infertility ka saamna patient ko kara padta hai.
To abhi hum ye jante hai ki ye causes bohot tarah se hote hai. Lekin jo commonest cause hota hai, wo bohot baar pet ka TB hone ki wajah se hume tubal blocks dikhai dete hai. TB hone ke ilawa bhi jo other factors hai, jese ki infection, koi swelling, to isme Endriometrosis bhi rehta hai, jiski wajah se chipka chipki hojati hai, adagens hojate hai aur tubal blocks hojate hai. To ye tubal blocks ki wajah se conception nahi ho pata hai.
Ayurved iske baare me kya kehta hai?
Ayurveda me hum 2-3 tarah ki chikitsa karte hai. Mere clinic me ek jo chikitsa rehti hai tubal block door karne k lie, hum Uttara Basti naam ki ek chikitsa karte hai. Jese ki vagina ke raste hum kuch dawaiya ander daal dete hai, jese ki Uterine cavity ke ander hum daal dete hai. Ye process hum safety process ke under karte hai. Ye dawai ander tubes me chali aati hai aur hum tubes ko clean kar dete hai. Ye jo chikitsa rehti hai, wo hum periods khatam hone ke 10 din ke ander karte hai 3-5 din tak. Case to case ye differ karta hai ki 3 din ho ya 5 din ho. Hum jo ander dawai daalte hai use Uttara basti kehte hai. Isse tubal blocks door hote hai, aur agar tube me koi soojan ho ya fir koi adagens ho to wo kam hojate hai.
Lekin agar TB zada faila hua hai, agar grade 4 ka TB hai, to tube khulne ke baad bhi hume chances nahi milte hai. Iske baad test tube baby ka he hume istemaal karna padta hai. Lekin Uttara basti ka upyog hoga ya nahi hoga, ye hum case dekhne ke baad he bata sakte hai.
Uttara basti ka ek faeda bhi hota hai ki jo uterine cavity ki endiometry lining ko badhane ke liye hum kar sakte hai. Agar kisika tubal blockage khul nahi raha ho ya hume test tube baby ke liye jana pad raha ho, to test tube baby ke liye endometrial line accha hona chaie aur uski quality bhi acchi honi chaie. Iske liye hum Uttara basti ka upyog kar sakte hai. aur iske liye hum pet se bhi kuch dawaiya dete hai.
For more information, you can contact me through Lybrate.
Thank you.