Lifestyle Disease
Hi,
I am Dr. Vinod Pandey, Ayurveda. Today I will talk about lifestyle disease. Lifestyle disease metabolic disease ka hi part hai. Ye problems aapko tab hi hoti hai jab aapka unhealthy lifestyle ho, diet ho, aap exercise na karen. Apko nature ki natural chizon ko consume karna chaiye. Pollution se bhi aapko problem ho jati hai. Apka stress level aapko effect karta hai. Agar aap unhealthy diet le rahen hain like white flour, junk or processed food, sugar, salt, smoking, alcohol etc, ye aapke body system ko kharab kar deta hai.
Agar aap proper sleep nahi le rahen hai and excess me non-veg food le rahen hai to vo bhi apke lia problem hai. Agar aap ka life sedentary hai to aap obese ho jate hain. Cancer aaj ki date me kafi badh gya hai. Ab 150+ cancer hain jo aapki body ko effect karte hain. Alzheimer's disease, asthma, diabetes, stroke, hypertension PCOS, infertility, arthritis, depression, kidney disease aapko effect kar sakte hain. Islia aapko healthy lifestyle follow karna hai. In sab problems se bachne ke lia apko regular exercise karni hai.
Yoga, pranayam, meditation, healthy diet lena hai apko. Proper sleep leni hai apko. In sab ko follow kar ke aap lifestyle diseases ko kahtm kar sakte hain. Agar aap koi bhi information aap mujhse lena chahte hain to aap mujhse Lybrate ke through contact kar sakte hain.
Thank You!