Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 13, 2023
BookMark
Report

Lifestyle Disorders

Profile Image
Dr. Sonia KarpalAyurvedic Doctor • 18 Years Exp.BAMS
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Soniah Deep Karpal, Ayurveda. Maine apni 13 saal ki practice mein dekha hai ki bahut sari problems ka cure kiya jaa sakta hai. Aaj kal jyada preshaniyan lifestyle disorder ki vajaha se hain. Diabetes, hypertension, thyroid, arthritis, obesity, stress, PCOD, ye sab lifestyle disorder maani gayi hain. Jab aap ka rehen-sehen, khan-paan bigadne lagta hai toh dheere dheere ye preshaniyan aani shuru ho jaati hain. Aaj kal dekha gaya hai ki ye preshaniyan young generation and even bachon mein bhi aani shuru ho gayi hain. Iske bahut sare karan hain jaise sedentary lifestyle, gadget ki taraf humara dhayan jyada rehta hai jiski vajaha se proper lifestyle bigadna shuru ho gaya hai.

Khana and sona time par na hona kyuki humein lagta hai ki humein life ke goals ko acheive karna bahut jaruri hai and fir jab hum jo income earn karte hain, vo sari medicines pe kharch kar dete hain. Isliye ayurveda mein hum patient ke lifestyle ko samajhte hain and sabse pehla advice lifestyle ko imporve karne ka hota hai. Lifestyle 80% cure hai aap ka. 20% medicines kam karti hain. Toh jab bhi aap ko lage ki aap ka pehla symptom aa raha hai arthritis ka, sugar badh raha hai, BP up ho raha hai, toh sabse pehle mai advice karungi ki lifestyle improve kariye. 15 mins ki bhi agar aap exercise karenge, toh aap ki life mein bahut change aayega. Breakfast bahut jyada important hai jisko Indian females bahut neglect karti hai, jiski vajaha se unko deficiency honi shuru ho jaati hai. Weakness, lethargy, low hemoglobin, tiredness jyada hota hai. Isliye breakfast aap healthy jarur lein.

Young girls mein PCOD ki problem bahut common hai. Females mein thyroid bhi bahut common hai. Ye sedentary lifestyle ki vajaha se bhi hai. Jyada gadgest use karne se pitutary gland affect hota hai. Ye aap ki body ki complete functioning ko control karta hai. Iss gland ki functioning kharab hone se aap ki sari body ke glands ki functioning kharab ho jaati hai. Immunity kamjoor hoti hai, bhook nahi lagegi, weakness rahegi and uske baad humara medicines starts ho jata hai.Isliye aap ka lifestyle improve karna bahut important hai. Aayurveda mein aap ko sab btaya jaat hai ki aap apna lifestyle kaise improve kar sakte hain. Kya khana hai, kaise rehena hai jisse ki aap apna lifestyle imporve kar sakte hain. Lifestyle disorders agar sahi samaye pe aap ko pata chal jaate hain, toh uska cure available hai. Humein thyroid ke patients ko treatment dia hai and aaj 5-7 years ho gaye hain aur aaj vo kisi bhi medications pe nahi hain. Ek sahi lifestyle ko follow kar rahein hain. Ye sabke liya possible hai. Bajaye ki aap whole life medicines pe rahein, uske side-effects ko jhelte rahein, aap uske cure ki taraf jarur jaiye.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Obesity treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details