Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Male Infertility

lybrate_youtube

Hi, I am Dr. Rhythm A Gupta, Gynaecologist.

Aaj hum baat karenge male infertility ke baare mein. Males are responsible for 50% of infertility cases. Maximum tests ladies ke kiya jaate hain and hum male ke liye husband semen analysis ka test karte hain. Ye test ek ache lab me karaya jaana chahiye. Normal blood test labs iske thik se test nahi karte hain. Kabhi kabhi result bhi positive aa jata hai. Semen analysis mein 3 key factors dekhe jate hain. Ek sperm count dekha jata hai. Sperm motility bhi dekhi jati hai. Sperm morphology bhi dekhi jati hai.

Normal sperm 15 million per ml hona chaiye. Total sperm count should be 39 million. Motility should be more than 32%. Diagnosis ke according hi aapka treatment plan kiya jaata hai. Treatment ART or IVF se diya jaata hai. Agar count normal hai to IUI se treatment dia ja sakta hai.

IUI mein hum husband ke sample ko concentrate krte hain. Ye simple procedure hai bt iske lia tube ka open hona bhut zaeuri hai. IUI karne se pehle female egg ka test krna bahut zaruri hai. Agar semen me kuch kami hai to hum IVF krte hain. Is procedure ke lia female patient ko 10-12 days tak injections dia jate hain. 8-10 eggs bnaye jate hain and unko body se nikala jata hai. Agar semen me sperm kam hai to ICSI procedure kia jata hai. Isme egg and sperm ko milaya jata hai. Iske through embryo bnaya jata hai.

Agar semen ka morphology kharaab hai to hum dusri techniques use karte hain. Isme hum ache sperm ko nikaal ke egg se mila sakte hain. Iske liye hum apni lab me PICSI and IMSI use karte hain. Ye ek dish ke through kia jaata hai. In dono procedure ko hum tabhi use karte hain jab morphology bahut kharaab hoti hai. Ya fir ek lady ki bahut sare abortion ki history hoti hai. Isliye semen analysis bahut important test hai. Ye treatment IUI, IVF, ICSI, PICSI and IMSI ke through hi treatment karte hain.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Infertility treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details