Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Male Infertility

Profile Image
Fortis Bloom Ivf CentreIVF Specialist • 23 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery
lybrate_youtube

Hello,

Mera naam Dr. Nandita Palshetkar hai.Infertility in man bhut hi common hai. Mere paas jo couple aate hain unme se 50% male infertility reason hai bacha na hone ka. Hum hmare clinic me zero sperm vale patient ko bhi treat krte hain. Pehle to hum diagnosis krte hain check krne ke lia ki khin block to nhi ho gya hai. Ye treatment bhut easy hota hai. Hum sui daal kr sperm bahar nikalte hain. But ye sperm hum bachedani ke anadar daal kr bacha tyar nhi kar skte hain. Hume iske lia IVF or ICSI krna hota hai. Hume female ko injections dena hota hai, eggs prepare krne hota hain, after 10 days female ko behosh kr k sonography ke through hum eggs bahar nikalte hain. Jis din eggs bahar nikale jate hain, us dine husband ke testis se sperm nikalte hain. Isme hum ICSI ke through bacha tyar krte hain. Ye easy treatment hai. Iske success rate bhi bhut hi ache hain, 40-60% pregnancy rates hain.

Dusre patients hote hain jinme zero sperm hote hain unhe testical failure ke patients bola jata hai. Aise patients ke lia hum latest technology - micro tesa ke through treatment krte hain or dekhte hain ki sperm hai ya nhi. Or unke sperm milne par hum use krte hain unka khud ka bacha dene ke lia. In technologies ke through kafi male patients ko benefit hua hai. Hum biopsy krte time use 4 parts me divide krte hain. Ek portion testing ke lia hota hai and baki ke 3 portion IVF lab me aata hai. Use hum future ke lia freeze kr ke rkh skte hain.

So, in technology ke through azoospermia or zero sperm definitely treat kia hai. Jinke counts bhut low ho ya jinki motallity kam ho, unke lia ICSI is a boon. Iase cases ke lia 2-3 times or 6 times IUI kia jata hai. Unke lia ICSI bhut beneficial hai. Unko bache milte haian khud ke shukrano se. Thode shukrano aise bhi hote hain jhan hum bache tyar nhi kar skte hain. Aise patients ko hum donor ka sample advice krte hain. Aaj ke time me hum 2-3% patients ko hi hume bolna pdta hai ki donor sample use kren.

Thank you

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Infertility treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details