Male Infertility - What Should You Know?
Hello,
Namaskar. Mein Dr. Ashok Gupta. Mein ek Urologist hu aur andrology mera special field hai. Andrology maane ki mein male infertility ka treatment karta hu. Agle 4-5 minute mae mein apko male infertility ki jankari deta hu. Jab pariwar mein bachcha nahi hota hai toh pariwar ke log aur sab jaan pahchan wale ye maan baithte hai ki lady ko koi beemari hai ya usme koi nuskh hai aur isliye pregnancy nahi ho rahi hai. Hum sab bhul jaate hai ki pregnancy ya bachcha banane ke liye do component chahiye. Ek component hai anda jisko egg bolte hai jo ladies khud banti hai, aur dusra component hai sperm ya shukranu, jo usko apne husband se milta hai. Jaahir hai ki nuskh ande mein ho ya sperm mein ho, toh dono se infertility ho sakti hai. Vastav mein bahut saari studies se ye clarify ho chuka hai ki pregnancy nahi hone ka karan ek tihahi cases mein ande ke karan hota hai, ek tihahi sperms ki vajah se hota hai aur bache huve ek tihahi cases mein ande aur sperm dono mein nuskh paya jaata hai. Isliye lady ko blame karna bilkul galat hai.
Aage badte hai, maan lijiye ki problem aa gayi aur pregnancy nahi ho rahi hai toh kya kiya jaaye? Solution bahut aasan hai, humein ye jaan’na jaroori hai ki infertility male factor ki wajah se hai ya female factor ki wajah se. Solution bahut aasan hai, sabse pahle purush ke semen ki jaanch karani chaiye. Semen analysis se ye maloom lag jayega ki nuskh sperm mein hai ya nahi. Agar sperm mein kami payi jaati hai toh ye male infertility ka case ho gaya agar semen analysis normal hai toh ye female factor ki wajas se infertility hone ki sambhavna jyada hai. Agar female factor ki wajah se infertility hai toh iss couple ka treatment gynaecologist ya IVF specialist ke paas hoga. Aur dusri taraf agar sperm mein koi nuskh hai toh ye toh iss couple ka treatment gynaecologist ya IVF specialist ke daayre se bahar hai aur inka treatment male infertility specialist ya andro-urologist ke paas hoga. Isliye, agar semen analysis mein koi kami payi jaati hai toh iske maayne ye hai ki ye male infertility ka case hai aur most likely, pregnancy sperm mein koi kami hone ki wajah se nahi ho pa rahi hai.
Ab kya kiya jaaye? Toh iss couple ko andro-urologist ya kam se kam urologist se milna chaiye. Urologist male partner ko physically check karke aage investigate karenge aur karne ke baad ye pata lagaya jayega ki ye sperm mein kami kis wajah se hai? Kaafi saari beemariya aisi hai jo operation ya dawai se thik ki jaa sakti hai. Lekin ye sab karne liye pahle diagnosis banna jaroori hai aur ye diagnosis andrologist ke haath mein hi banega.
Buri baat ye hai ki male partner ki beemari ka pata lagaye bagair ya usko thik karne ke bajaye log donor semen ka istemal karne ki koshish karte hai jo bilkul galat hai. Donor semen se aane wale bachche ka blood apne father se match nahi karega. Isliye humein poori koshish karni chaiye ki shkranu ya sperm mein jo defect hai usko thik karne ki koshish karni chahiye. Aur aajkal bahut achche tareeke hain jis se agar sperm bahar nahi aa rahe hai aur testis mein ban rahe hai toh scrotum ko explore karke t se micro t c jaisi atiadhunik vidhiyo ke jariye hum sperms ko testis se nikal sakte hai aur female partner ke egg lekar sperm aur egg ko lab mein milaya ja sakta hai. Aur uss se biological child couple ko diya ja sakta hai.
Mujhe male factor infertility ka treatment karte huve, male partner ko handle karte huve 30 saal ho gaye hai. Isliye, mein apko bade vishwas ke sath kah sakta hu ki agar apko male factor ki wajah se infertility hai ya apke semen mein koi defect hai ya sperm count kam hai ya sperm available nahi hai toh aap mujhse miliye aur mein apki problem ka solution nikalne ki poori koshish karunga.
Dhanyawad.