Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Menstruation Related Problem

Profile Image
Dr. Ramandeep KaurGynaecologist • 26 Years Exp.MBBS, MD - Obstetrtics & Gynaecology, MRCOG(UK - London )
lybrate_youtube

Namaskar!

Me Dr. Ramandeep Kaur, senior gynecologist hun. Aaj hum mahavari se related taklif ke bare me baat krenge. Ye problem 11-13 ki age me shuru hoti hai. 9th ki age se pehle periods aana is not normal. Aisi situation me gynecologist se milna jruri hai. 50 ki age ke baad periods band hone ka time hota hai. Suruat me and end ke 4-5 years me problems aati hain. Agar peiords painful or heavy hain to medicines se thik kia jata hai. Jyada problem hone pe sonography advice kia jati hai. Agr kisi choti problem like tooth break hone pe bhi jyada bleeding hoti hai to ye khoon ki bimari ho skti hai. Aisi situation me doctor ke pass check-up ke lia jrur jana chaiye. Normal periods days 2-7 hain.

Din me 2-3 pads change krna is normal. Lekin frequent pad change krna, pain hona, periods aane se pehle pain hona is not normal. Agar 50 ki age ke baad periods band ho gye and firse 1 saal baad start ho gye to ye bhi ek problem hai. Periods ke bich me agar normal bleeding hoti hai ya intercourse krne ke baad bleeding hoti hai to check-up bhut jruri hai. Normal blood test kia jata hai, thyroid check kia jata hai. Womb me cyst hone se bhi periods me problem aa skti hai. Agar ye medicines se thik nhi hoti hai problem to operation krna pdta hai.

Agar 40 ki age ke baad jyada bleeding ho rhia hai to biopsy advice kia jata hai. Hormonal problem medicines se thik ho jata hai. Laparoscopy or hormone device: mirena womb me lgaya jata hai. Is se periods thik ho jata hai. Or agar ko medicines asar nhi kar rhi hai or womb bada ho gya hai to use nikala pdta hai. Islia agar kbhi bhi severe pain hai ya heavy bleeding hai to gynecologist se milen. Or fir apna treatment plan kren.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Irregular Periods treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details