Panchakarma Therapy For Infertility
Namaskar! Main Dr. Pradnya Aptikar hun. Main Thane mein 18 saal se practice kar rahi hun. I am practicing as a Ayurvedic Gynaecologist. Jisme mein main infertility ke patients treat karti hun.
Aaj hum is video mein baat karenge, infertility ka or ek issue abhi zyaada dikhayi deta hai. Jaise ki anti-mullerian hormone jo hota hai vo bahut patients mein , abhi 24-25 ki umar mein hi kam dikhayi deta hai. Iska jo normal range hota hai, vo above 1 hona chaiye ya 2 k above hona chaiye. 2 to 6 is the normal range. Lekin bahut se patients mein , it is less than 0.3 or 0.01. To ye humein bata deta hai ki stree ke sharir me ande kitne abhi tak hai.
Agar ye low bata deta hai, to uska matlab uske khud ke ande jo hain, vo kam hote ja rahen hain or khud ke ando se vo conceive nhi ho payegi. Bachha nhi ho payega. To kabhi kabhi aise cases mein modern technology ke doctor se ya fir modern technology agar hum jaante hain, test tube baby kraana chahte hain, to usme humein donor egg lena padta hai ki jisme jis stree ke ande ache hain, us stree ke ande leke vo test-tube baby karana pdta hai.
Agar hum ande ki quality badahna chahte hain , to hum ayurveda se ye kar sakte hain. To ye treatment ke liye main , mere clinic mein ayurvedic dawaiyan peat me dete hain or panchakarma chikitsa jisme shirodhara ho ya fir vaman, virechan, aise jo panchakarma ke detoxification processes hain or iske sath sath counseling hai, diets hai or lifestyle jo hai, suko modify krne ke hum kuch upay btate hain. To ye ab agar aap chizen krte hain to ande ki quality hum badha skte hain. Agar aap conceive nhi kar paa rhe ho ya agar aapko iske bare me or jankari chaiye ya fir mujhse milna chahte hain, mujhse appointment lena chahte hain to you can contact me through lybrate.com. Thank You.