Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Pilonidal Sinus - What Should You Know About It?

Profile Image
Dr. Deepak RathiAyurvedic Doctor • 15 Years Exp.BAMS, Advanced Training in Kshar Sutra Therapy, Post Graduate Diploma in Kshar Sutra Treatment
lybrate_youtube

Hi, I am Dr. Deepak. Rathi, Ayurveda Specialist. Aaj mein aap ko btaunga pilonidal sinus ke bare mein. Ye ek foda hota hai jismein baal chale jate hain. Patient sochta hai ki ye normal hai or patient Dr ke pass nhi jata hai. Patient ko baad mein pta chalta hai is disease ke bar mein. Isme andar rasta ban jata hai and cavity hoti hai. Is cavity mein pus and infection hota hai. Baal ikathe ho jate hain. Jinka sitting job hota hai unke is part mein pain hota hai. Friction ki vajha se baal tut kr iske andar chale jate hain jisse infection hota hai.

Ye problem tab tak thik nhi hoti hai jab tak ismein se baal na nikal diya jayein. Iska treatment medicines, surgery ya fir sharsutra therapy se kia jata hai. Medicines se iska treatment pura nhi hota hai. Surgery se ismein recurrence ke chances badh jate hain. Ayurveda mein thread use kia jata hai. Ye ek medicated herbal thread hai jo treatment mein use kia jata hai. Ismein medicines use ki jati hai thread ke sath and operate kia jata hai. Is se pus and hair remove ho jate hain. Jab thread apna kam kar deta hai to vhan wound ho jata hai jisko hum clean karte hain. Ye bohot hi successful treatment hai. Further information ke liye aap mujhse Lybrate ke through contact kar sakte hain. Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Pilonidal Sinus treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details