Recurrent Pregnancy Loss
Hello Everyone!
Me Dr. Sangeeta Raodeo hun, practicing gynecologist. Me practice krti hun Central Hospital and Fortis Hospital me. Me ek high-risk pregnancy specialist hun and infertility me bhi kafi ruchi rkhti hun. Aaj me baat krungi bad-obstetric history ya recurrent pregnancy loss se pidit mahilaon ke bare me. Ye vo mahilayein hoti hai jinme pregnacy rehne me koi problem nhi hoti lekin 1-1.5 months pregnancy hone ke baad, bacha apne aap gir jata hai, abortion ho jata hai.
Kbhi kbhi aisa bhi hota hai ki sonographic krne pe pta chalta hai ki bache ki dhadkan hi nhi hai. Kbhi kbhi aisa bhi hota hai ki pregnancy 7-8 months tak chalti hai lekin bache ki growth and vajan ache nhi badh pata. Blood pressure ho jata hai or premature delivery krni pdti hai. Agar 1-1.5 months me aisa ek bar ho to hum generally usko normal smjhte hain lekin ye baar baar ho to iska investigation important hai. Kayi ladies me blood me factor ki kami ya fir molecular or placenta level pe blood clot banne lgta hai. Jiske karan bache ko nutrition nhi mil pata hai.
Agar hum iska investigation kren to iska treatment 100% possible hai. Ye ek parkar ki high-risk pregnancy hai jise hum carefully monitor krte hue chalen to iska ilaj ho skta hai. Ye treatment jyada expensive bhi nhi hai. Investigation ke li normal expenses hote hain. Lekin uske baad daily injections lene pdte hain. Maa banna ek bhut hi sukhad and gauravshali anubhav hai. Lekin maa banne ke baad use khona, kisi bhi stri ke lia bhut bada mansik dhakka ho skta hai. Islia agar apke parivaar ye jaan pehchan me kisi ko bhi y problem hai to aap mujhe contact kar skte hain. Iska treatment ache tarike se ho skta hai. Mujhse consult krne ke lia aap mujhse Lybrate ke through contact kar skte hain.
Dhanywad.