Struggling with Stress?
Impact of Stress on our health
Mera naam Dr. B S Arora hai. Mai peshe se ek manochikitsak hoon. Kya aap apni Zindagi Tanav Mukt Jeena Chahte Hain? Kya aap Chahte Hain ki aap ke Jeevan Mein Koi Tanav Na Ho? Agar aap ka Uttar haan me Hai To Mujhe Gaur Se suniye. Aaj Mai aap se Tanav aur Tanav se Mukti ke upaay ke baare mein sankshipt vartalap karunga. Pehle tanav Kya Hota Hai? Tanav ke kya Karan Hote Hain? Tanav Mujhe Kaise prabhavit karta hai aur Tanav ki avastha kya hoti hai? Aur fir mai aap ko bataunga Tanav Mukti ke upay. Pehla toh tanav Kahin Bhi, Kisi Ko Bhi, Kabhi Bhi Prabhavit kar sakta hai. Tanav Zindagi Ki Ek Sacchai hai. Tanav ka Sahi Prabhadhan hi ek upaay hai.
Pehla tanav Hota kya hai? Ek avastha Hai jis mein kisi kaaran se mera Shaareerik, Mera maansik Mera Bhavnatmak santolan Bigad jaata hai. Yeh Karan antrik bhi ho sakte hain aur Bahri bhi ho sakte hain. Ye vastavik bhi ho sakte hai ya Kalpanik bhi ho sakte hain. Tanav ko do bhago Me Baanta Gaya Hai 1 positive or negative. Jaise aap apni Pariksha ke liye taiyari karte hai, agar tanav na ho to aap apni Pariksha ki taiyari nahi kar Payenge. Isliye Hum usko kehte hain positive tanav, Ek positive tension. Ab humein dekhna chahiye ki tanav ki avastha kya kya hai. Tanav ki teen avastha hoti hai. Jaise ki hum Apne Jeevan Kaal Ke Andar 3 Kaal Se Guzarte Hain - balyavastha, Yuva avastha aur vridhavastha.
Tanav ki bhi theek 3 Avasthaayein hoti hai. Pehli stage Hoti Hai alarming stage, 2nd Stage hoti hai stage of resistance and Third stage hoti hai stage of exhaustion. Jab Ek vaigyanik addhyyan kia gaya Pata Laga ki Hamare Tanav Ke Karan alag alag ho sakte hain lekin Hum usko Jis Tarah se pratikriya karte hai uska 1 definite pattern hai Jisko Hum Log Kehte Hai generalized adaptation system. Ye ek jatil prakriya hai. Mainw uska Ek thoda sa sarili Karan aap logo ke liye Kiya Hai. Ab Hum Chalte Hain Tanav ke kya kya Karan ho sakte hain. Pehla Karan Ghar Mein Kisi ki mrityu ho jana. Kisika ghar mein janam lena. Kisi Ko Kisi ke ghar mein Achanak aapka financial status ya Naukri ka chhoot Jaana. Ya phir ek samay nirdharit k andar aapka Karya ko karna.
Tanav ke aur bhi Karan ho sakte hain jaise aapka traffic me fas Jana, Pariksha ka nazdeek Aa Jana aur ek pariwarik Kalah jisske anar Divorce Bhi Ek pramukh Tanav ka Karan Hota Hai. Ab Hum Chalte Hain Tanav ke baare mein Humne Charcha kar li. Tanav ke Karan, tanav ki avasthayein. Ab baat karenge tanav Hame Kaise prabhavit karta hai. Hum Shareerik taur pe baat kare to Tanav Hame Rakta Chap yani hypertension, BP Ka mareez Bana sakta hai. Humko Heart Attack De sakta hai. Agar ye tanav accumulated hokar daily Jo Hamare tanav hai Aage chal kar Hame hriday Rog se bhi Prabhavit kar sakta hain. Tanav Hume anxiety, depression, psychosis Ka mareez Bhi Bana sakta hai. Agar tanav bahut jyada ho To kitne log Tanav se prabhavit hokar aatmhatya Tak kar lete hai. Abhi jo vaigyanik addhyyan Huye hai usse ye Pata Chala Hai ki Bada Tanav ek ho toh itna prabhavit nahi karta Magar Chote Chote Kah tanav Hame Jyada prabhavit karte hai. Aur Ek Aur tathya nikla hai. Cancer of tanav. Jo log bahut sara tanav lete hain unke andar Yeh Pata Chala Hai cancer hone ke Pravarti bad rahi hai. Ab mai aap ko Tanav Nivaran or tanav ka prabhandhan Hum Kaise Kare.
Agar Aap iske baare mein mujhse koi sujhaav ya mujhse koi suggestion chahte ho toh aap lybrate ke through Mujhse Sampark kar sakte hain.