Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Apr 13, 2020
BookMark
Report

Techniques To Tackle Sciatica

Profile Image
Dr. Gaurav BansalNeurosurgeon • 24 Years Exp.M.Ch (AIIMS) - Neuro Surgery, MS - General Surgery, MBBS, IFAANS (USA)
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Gaurav Bansal, Neurosurgeon, Fortis Escorts Heart Institute & Spine & Neuro Clinic, Delhi, Fortis Hospital, Noida. Today I will talk about the spine pathology. Jismein hum baat karenge ki disc prolapse ya disc khisak jana ya sciatica hai, toh uske aaj kal latest technology kya hai jis se ye tackle ho sake. Today I will be talking about minimally invasive spine surgery. Humein normal tissues ka loos kia bina insan ke andar jana hai aur mariz ki nerve ka pressure lose karna hai. Kyu ye kia jata hai and kis lia sciatica banta hai, mariz ko kyu dikkat shuru hoti hai, iske baare mein aaj baat karenge. Sabse pehle mai aap ko btaunga ki sciatica kyu hota hai. Pairon mein se disc ki taraf jo nus jaati hai agar us par koi bhi pressure aata hai toh us se sciatica hota hai. Ye dabav kayi karan se aa sakta hai. Ismein sabse jyada problem aata hai jab disc khisak jata hai. Ise disc prolapse ya PIVD kehte hain.

Ismein disc jhatake ya fir kharab hoke bahar nikal aati hai. JIski vajaha se pair mein jo nus ja rahi hai usmien jhanjhanahat ya sunpan aa jata hai. Abhi tak sambhav ilaj mein hum mariz ke piche chira laga ke rid ki haddi tak pahuchte the, usko khuli aankhon se dekhte the ki kahan kya problem hai. Jo tukda nus mein asa hota tha use nikalte the. Is process mein normal skin and normal rid ki haddi aur bich ke tissues ko katna padta tha. Tab jaake hum disc tak phuchte the. Aaj ke time mein iski jarurat nahi hai. Humare pass latest technique hai jismein minimally invasive spine surgery di jaati hai. Ismein hum 3-4 mm ki tube dalte the and kuch bhi damage nahi hota tha. Ismein ek durbin pass kia jata hai dekhne ke lia ki kaha disc prolapse hai, jahan tukda hota hai use hum grasper se bahar nikal lete hain. Is se patients ko aram milta hai and kayi marizon ko behoshi ki jarurat hi nahi padti hai. Ise hum stitch less, scarless and painless surgery kehte hain.

Patient khud hi kehta hai ki jo mujhe pain tha ab vo nahi hai. Uske baad mariz ko koi tanka chira kuch nahi lagta. Spine se related kafi galatfamiyan hain ki surgery ke baad patient ko uthne hi nahi dia jata hai, aage puri life kamar mein dard rehta hai, kamar mein kamjoori aa jayegi, ya humein screw lagane padte hain, in sab ki jarurat 90% cases mein nahi padegi. Mariz ko same day hum ghar bhej dete hain and patiet apne ghar pe aram kar sakta hai. Patient ko hum OPD mein examine karne ke baad select karte hain. Agar humein koi problem dekhti hai toh hum MRI karte hain. Agar humein lagta hai ki stitchless surgery se tackle ho sakta hai jo ki 90% possible hai toh hum stitchless surgery hi karte hain. Patient ko hafta 10 din baad OPD mein aake dikhana hota hai. Baki patient ko koi dikkat nahi hoti hai. There is no bed rest needed. Agar kisi ko bhi kamar ya rid ki haddi mein dikkat hai toh aap kisi bhi spine surgeron se mil sakte hain. Aap ko painkillers khane ki jarurat nahi hai. Aaj ke time mein ye minor surgery hai. Iska permanent cure available hai. Islia aap apne karibi Dr se milein aur treatment lein.

Thank You

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Sciatica treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details