Things About Liver Transplant
Namaskar!
Main Dr. Sandeep Jha, Gastroenterologist and liver transplant surgeon. Apko aaj liver transplant ke bare me kuch batana chahta hun. Aaj apko liver transplant se related myths bhi clear krunga. First question hai ki cirrhosis ke konse patient ko transplant ki jarurat hoti hai. Agar apko cirrhosis ke severe symptoms hai to apko liver transplant ki jrurat hai.
Iske symptoms kya hain. Pet me pani bharna, behoshi hona, blood in vomiting, cirrhosis se kidney and lungs pe effect hona. Aise symptoms hone se jaldi hi transplant kara lena chahiye. Agar CT scan me liver cirrhosis ke sath cancer bhi hai to apko transplant ki jarurat hai. Liver transplant ke 2 types hain. Living donor and deceased donor transplant. Living donor me apke relative se 60-70% liver nikal ke apme lagaya jata hai. Deceased donor me kisi non-living human body se liver nikal ke mariz me lagaya jata hai. Deceased donor ke lia apko pehle registration kerana pdta hai kyuki government list me jiska name sabse pehle aat hai, use liver pehle milta hai. kyuuki organ donation India me bahut kum hai. Apko 4-6 months bhi liver k liye wait kerna pad sakta hai. Kya cirrhosis se apki jaan ko khtra ho skta hai? Cirrhosis liver failure ka dusra name hai. Liver body me 400 functions kerta hai. Liver failure baki ke organs ko bhi effect krta hai. Jaise kidney, brain, heart, lung etc. Agar apko cirrhosis ke symptoms hain to apki life 1-5 years hi hai.
Agar apko blood in vomiting, kidney failure and brain effect ho rha hai to apki life 1 year me 60% hi reh jati hai. Cirrhosis se liver cancer hone ka risk bhi hai. Kya liver transplant cirrhosis ka successful treatment hai? Iske lia hum ye keh skte hain ki cirrhosis ka ek hi treatment hai jise liver transplant kehte hain. Ye ab tak ka sabse bada operation hai. India me ye operation kafi successful hai. Dusre desh se bhi kafi log aake ye operation India me karate hain. In fact bahar se log donor leke aate hain and 60-70% bahar ke log hi India me transplant kerate hain. Kehte hain ki liver transplant bhut risky surgery hai and kafi costly bhi hai. Ye 90% successful hai. Kuch patients me operation ke baad bhi problem ho skti hai. Agar aap liver transplant nhi krate hain to aap hospital ke chakkar hi katte reh jate hain. Iske alawa mariz apna koi bhi kam krne ke layak nhi bachta hai.
Successful treatment ke baad patient bilkul thik rehta hai. Liver transplant ka khracha kam ho rha hai. As of now iska khracha 18-20 lakhs hai. Or mariz ko har mahine 2-3K medicines me bhi spend kerna padta hai. ye ek myth hai ki transplant ke baad mariz ko ghar se niklna mana hai or kafi problems bhi hoti hain. But aisa bilkul bhi nhi hai. Apko regular medications lena padta hai jo apke blood pressure and diabetes ki medicines ki trha hi hote hain. Or regular check-ups krane pdte hain. Agar aap cirrhosis ke patient hain or apko surgery krnai hai to ek bar liver transplant ke mariz se miliye or uske baad hi apna nirnaye lijiye. agar apko is treatment ke bare me kuch janna hai to aap mujhe Lybrate ke through contact kar skte hain.
Dhanywad.