Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Oct 02, 2023
BookMark
Report

Urticaria: What You Need To Know?

Profile Image
Dr. Sandeep Gupta The DermatologistDermatologist • 20 Years Exp.MBBS, MD - Dermatology, observership Dermatosurgery IADVL
lybrate_youtube

Namaste,

Main Dr. Sandeep Gupta Balaji, Skin Clinic, se aap se baat kar raha hoon. Aaj main aapse urticaria ya bhasha mein Jise chapaki kehte hain ke baare mein baat cheet karunga. Urticaria ke baare mein main aapko Uske Lakshan wo Kis Tarah Ke Hote Hain? Kitne Prakar ke Hote Hai? Unko Hum Kaise diagnose kar sakte hain? Aur uska ilaj kaise hai aur woh Kitne Dino Mein theek hoti hai? Uske baare mein bataunga. Chapaki Jisko Hum medical language mein urticaria bolte hain us mein Laal Rang Ke chakate ho jate hain jin mein khujli hoti hai Yeh Kisi bhi Umra ke vyakti ko ho sakti hai.

Ye lambi bhi chal sakti hai aur choti bhi ho sakti hai aur iss mein sabse acha kya hai ki aap apne skin specialist ko dikhaye. Agar aap ki chapaki thik nahi ho rahi hai anti allergic dawai kahi prakar ki ho sakti hai. Chapaki ek jo achanak se ho jati hai jo ki kuch hapte tak hai rehti hai Aur phir theek ho jati hai. Ek hoti hai bigdi Hui chapaki jisko hum chronic urticaria kehte hain Jjo achanak se ho jati hai usse acute urticaria kehte hain aur uska Karan aandar par kisi dawai ka reaction macha ya kide ka Katna ya phir Koi viral fever ho sakta hai to usne bhi aapko kuch bhi hogi jo bigdi hui chapaki Hai.

Ya lambi chalne wali chapaki hai vece haftey se jyada chalti hai jyadatar 65 se 80 percent logo Mein uska koi Karan Nahi Milta aur kuch Logon Mein uska Karan Milta Hai Jo thand se kuch logo ko ho sakti hai. Thande Pani ke contact se ho sakti hai kuch Garam cheez khane se ho sakti hai, exercise karne se, tej Chalne Se unlogo Ko chapaki Ho Jati Hai. Kuch logo ko pressure se ho jati hai to inter rakhi chapaki urticaria ko physical urticaria bola jata hai. Ab Ye Jo chapaki Hai Isko diagnose kaise kiya jaye yeah usually aapke Dermatologist skin care specialist ya physician isko diagnose Karte Hain Lakshyano ke Aadhar par.

Agar lambi chalne wali urticaria hai usme Zyada tar mein karan ka pata nahi hota are extensive test karane se bhi Koi karan pata nahi chalta toh aam tor par jab aap kisi lab Mein Jaate Hain toh woh kehte hain allergy test kariye. Allergy planner ke liye bolte hain toh uska isme Koi roll nahi hai toh iska ilaj kya hai iska ilaj hai ki agar aapko koi karan pata chal raha hai tu usko dur kiya jaye. Dard nivarak goliyon se agar aapko allergy ho rahi hai jaise aspirin toh woh aap band kar de agar aapko pressure se ho rahi hai jaise dabav, uptight kapde pehan hain yeah elastic tight ho raha hai ya aap blouse tight pehan rahe hain.

Pajama tight pehan rahe hain usse ho raha hai to usko dheela pahaniye. Jyada thande pani se ho raha hai to pani ka tapman normal ho us pani se nahiye. Agar exercise se aapko ho rahi hai tu aap usse bache. Jada tar cases Mai dawai antihistaminic he Chalti Hai anti allergic Jisko aam bhasha main bola jata hai citrizine ho gayi levocetrizine, pixofandine, loratadine, in jaise dawaiya Chalti Hai. Kuch logo ko in dawai se aaram nahi aata doctor aapka uchit woh karke ilaj kar sakte hain ho sakta hai steroids bhi kuch din ke liye de.

Lekin steroid ko doctor Agar Kuch Din ke liye Dete Hain toh aapko Unhe baar baar nahi lena hai aur apne aap se nahi lena hai. Doctor ki Salah Se Hai Lena Hai aur in the Walo ke bawajood Ek achi baat Yeh hai Ki zaditor cases Mein 50 percent cases mein Yeh Ek Saal Mein khatam ho jati hai Baki bachi Hui Jo 20 Mein Hai unmein woh Agle 2 saal Mein khatam ho jati hai Jo bache Huye 20 pasand hai uN mein 5 saal Mein khatam ho jati hai kuch Logon Mein Ye 25 saal Tak bhi chal sakti hai tu aaj main aapko urticaria aur chapati ke baare mein Bataye toh aap Uske baare mein Jaana samajhiye aur Agar aapko koi bhi problem hai To Apne Dermatologist se miliye, dhanyavad.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Urticarial Rash treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details