What You Need To Know About Masturbation?
Is Masturbation Normal or Harmful?
Sab bhai bandhuon ko namashkar, mai Dr. J Lal, Atta market, New Vihar-27 se bol raha hun. Aao ko sexual vishai mein, masturbation jo log karte hai uske labh haani k baare mein bataunga.
Zyada masturbation kar lene se aadmi k andar, purush k andar disability paida ho jaati hai, jisme sperm count kam ho jaate hai, hormone levels down ho jaate hai aur iss prakar infertility paida ho jaata hai. Iss tarah se aap log itni badi bimari k shikar ho jaate hai. Aap se yehi anurodh hai k aap kisi prakar ka bhi masturbation ya sex zyada na kare. Limited daire mein reh kar agar aap sex karte hai to aap ko har prakar ka swarth laabh rahega.
Shukranuo k kami k karan sharir ka andar nirjiwta aa jana, sharir puri tarah se kaam na karna. Isi prakar testosterone ka level bhi down ho jaane se susti aate rehna aur sahi tarah se aap k body ka puri tarah se wikaas na hona bhi paaya jata hai. Isme aap ka sexual disability paida ho jaati hai aur isme muscles nhi kamzor ho jaate hai, bones ki density bhi kam ho jaati hai, hair growth bhi kam ho jaati hai aur isme RBC ka bhi level down ho jaata hai.
Iss prakar mai aap ko samjhana chahuga k aap kisi bhi prakar ki masturbation se dur hi rahein, ise na karein ya kam se kam kare to thik hai. Iss prakar agar aap kisi prakar k samasya se jujh rahe hai to aap kripya kar k librate k madhyam se ya direct mere clinic pe aa kar k mujhse sampark kar sakte hai. Iss ka mai aap ko uchit ilaaz dunga.