Sir mujhe kuch time pehle pilonidal sinus ko problem thi. but ab liquid discharge bilkul nahi hota h 20-25 days ho gye h. but hole Abi b open h to kya wo khud close ho jyega ya kuch treatment karna pdega? konsa treatment sahi rhega?
Ask Free Question
Pilonidal sinus ka kabhi bhi surgery mat karwana, khsharsutra hi sabse acha treatment hai, jyada jankari ke liye humse sampark kare.
Ask Free Question
Pilonidal sinus mein kamar ke nichale hisse mein ek swelling ya opening banati hai jisme se ruk ruk kar pus/ watery discharge hota rahata hai. Pus discharge ho jane ke baad patient pain ya swelling khatam ho jati hai aur rogi ko lagata hai ki problem theek ho gai ha. Kuchh samay baad phir se swelling banati hai aur pus aane lagati hai. Yah cycle repeat hota rahat hai. Pilonidal sinus ki problem sirf khane ki dawayon se theek nahi ki ja sakati hai. Isliye pilonidal sinus ke liye aksar surgery ki salah di jati hai. Par pilonidal sinus ke liye surgery sahi upay nahi hai kyonki lagbhag 25-30% cases mein surgery ke baad bhi pilonidal sinus dobara ho jata hai. Jabaki graded kshrasutra treatment ke dwara pilonidal sinus ka complete treatment sambhav hai. Is treatment mein bed rest ya hospital mein admit hone ki jarurat nahi padati. Treatment ke dauran bhi aap apna daily routine ka kaam aaram se kar sakate hain.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors