Mere mata jii ki diabetes fasting 177 hai wo glimison mp 2 (glimipride 2 mg+metformin 500 mg+ pioglitazone 15 mg) din me do baar leti hai. Or unki poori body me bhut pain hota hai iske liye wo pregabalin 75 mg+ methylcobalamin capsule. Din me ek baar leti hai. Kya isse unki body ka pain sahi ho jayega.
Ask Free Question
Hello, thanks for the query. I have seen the details given. Sharir me dard hone ki ek main vajah uncontrolled blood glucose level bhi ho sakati hai. Fasting glucose 177 mg yane bahut hi jyada ho gaya hai. Aap ko shayad malum nahi hoga ki well controlled diabetes patient me fasting glucose < 100 mg ya 100 mg ke pass hona chahiye. After food glucose 150 mg - 170 mg rehana chahiye aur hba1c% (jo aap ne nahi likha hai) < 6.5% hone hai. Bahut sari important bate aap ne nahi batai hai jaise - hba1c%, patient ki umra, weight, height, dietary pattern, daily kitana exercise karati hai, bp level, serum creatinine, urea, lipid profile aur koi aur davai bhi leti hai kya. In sab baton ko likhana jaroori hai, usake bina kuch bhi advice nahi di ja sakati. To please give all the details and come back. Thanks.
Ask Free Question
Yes it can reduce the bodypain but controlling blood sugar is must.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors