Sir, kya hypnotherapy k jariye kya isse shaq ya negative memories, bahut jyda anger jisse kisi ki jaan tak le le or hmare mind me jo fix thought ya memory hoti h kisi k prati use replace kar sakte h? Like brain wash kar k memories ko hata kar hum sahi sochne lage ya ek soch ko badal kar kuch or sochne lage, iska asar hota bhi hai to kitne smay tak rehta hai kya hum again usi tarah k ban sakte hai koi nhi purani memory samne aane par, or kitna smay lgta hai iska asar hum par hone me, kya isme bhi dwaiya leni padti hai. Or iske kya charges hote h.agar hume koi privious medical problem na ho tab? Iski success rate kitni hoti h? Kya hme bad me yad rehta h ki hmne aisa karwaya h? Please please answer my quiry soon it's very important for me.
Ask Free Question
Dear lybrate-user, yeh sirf aap per depend karta hai ke aap kis tarah se apni bad memories ko apne dimag se bilkul nikal sakte hein, time ke sath sath ek human being change hota rehta he. Agar aapki purani yadein bahut dukh dene wali hein, to apne aapko unse dur karna hi aapke liye behtar hoga, meditation ki taraf apne aapko turn on kijiye, apne aapko din bhar busy rakhye, good books read kijiye, morning ya evening walk par jayye. Bus yahi aapka treatment he. Koi yadi previous medical condition se aap suffer kar rahe hain to aap mujhe bata sakte hain. Good luck.
Ask Free Question
Hello, hypnotherapy is not a first line treatment of this problem. Iska best treatment medicine se hota he. Ye lakshan 1 mansik bimaari ke hote he jiska ilaaj poori tarah se sambhav he. Aapko psychiatrist ko dikhane chahiye. Kuch hi dino ki dawa se ye saare thoughts aana band ho jaenge.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors