Infertility
Hello Friends,
I am Dr. Sumit Dhawan, Homeopath. Aaj me apse baat krunga infertility ke bare me. Infertility me apko homeopathic treatment kyu beneficial hai. Agar couple try kar rha hai last 12 months se conceive krne ke lia and vo possible nhi ho paa rha hai to use infertile couple bolte hain. Humne patient ko mentally kafi help kia hai and homeopathy treatment se successful results dia hain. To aaj me apko btaunga ki bade expensive treatment se bach ke aapk homeopathy se kaise treatment le skte hain. Hume male and female test dono krane chaiye. Woman ka PCOS, tubal blockage ka test kia jata hai. Male me problem hoti hai ki sperm ban nhi rha hai or ban rha hai to healthy nhi hai.
Treatments ashwagandha, asparagus and homeopathic medicines ke through dia jata hai. Female me sabse pehle problem aati hai hormonal imbalance ki. Allopathy me hormonal replacement therapy dia jata hai. But homeopathy me body ko strong bnate hain ki hormones apne aap ache ho jate hain. Kisi kisi case me unexplained infertility bhi hoti hai. Mental stress bhi ek cause hota hai. Dekha gya hai ki 3-4 months me couple conceive kr leta hai. Islia aap homeopathy ka benefit len. Ye sabse sasta treatment hai. Islia me apko suggest krta hun ki go for homeopathy. Best part is ki iska koi side-effect nhi hai. Aap mujhse consult kr skte hain Lybrate ke through. Me couples ko message dena chahta hun ki apko ghabrane ki jrurat nhi hai.
Thank You!