Infertility
Hi,
I am Dr. Deepti Gupta, Ayurveda. Aaaj hum baat krenge infertility ke bare me. Ye kafi progressive problem hai. Shadi ke baad 2-3 years tak conceive na kr pana. Iska ayurvedic treatment kya hai aaj hum vo discuss krenge. Apko apne aap ko healthy banna hota hai taki apki body healthy ho and aap healthy baby ko janam den. Hum panchakarma ke through treatment dete hain. Counseling di jati hai apko.
Isme dekha jata hai ki male ka sperm count kya hai. Female me mestrual cycle dekhi jati hai. Patient ka diet dekha jata hai. Patient ka womb dekha jata hai. Hormonal issue analyse kia jate hain. Patient ko virechana, nasya and basti ke through treatment dia jata hai. Patient ka diet plan kia jata hai. Lifestyle decide kia jata hai. Ante-natal time me bhi apka lifestyle and diet dekha jata hai. Post natal period me bhi hum panchakarma se apko treatment dete hai tak apka baby healthy ho. Pre-conception period me hi apka main treatment hota hai. Kuch aushdhiyon ka adan pradan hota hai. Agar apka sedentary lifestyle hai to uske lia apki counseling ki jati hai. Islia aap preconception ke lia kisi bhi ayurvedic doctor se consult kriye. Diet, lifestyle plan kriye and healthy baby ke lia aap successful rhen.
Thank You.