IVF Improvement Success Rate
Hi,
Mera naam Dr. K S Anamika hai. Ek stri rog aevam infertility vishagya hu. Aaj apse baat krungi ki aap apne IVF k success rate ko kaise improve kar skte hain. Aaj samaj mei hamare paas infertility ke cases bahut badh gye hain. Magar samajik kuntha jo sath e thi vo jarur kam ho gyi hai. Mariz hmare pas bilkul freely aate hain. Or IVF ke lia puchte hain or IVF krate hain. But bhartiye dumpatti ke pas abhi bhi itna financial support nhi hai ki vo do bar, teen bar, IVF kra sakein. Kyuki IVF ka success rate 40-45% tak hi hota hai, to hmesha marizon ke mann me ek khayal hota hai ki aisa vo kya kren ki unke IVF ke results ache aayen. To mai isi sambandh me aapki madad krna chahungi.
IVF ka jo taknik hai usmei pehle ande bnaye jate hain. Fir ande or pati ke sperm ka fertilization bahar kr ke, apke bache dani mei embryo ko transfer krte hain. Uss embryo ke transfer ke din se leke – 15 din ke baad apko apna pregnancy test lena hota hai. Aur iss 15 din ke dauran marizon ke maan me kayi baatein chalti rehti hain. Mai aisa kya karun ki mere IVF ka result acha ho? Is chiz ko hum 2 bhago me baatenge. Pehle to IVF ke pehle kuch steps or dusra apke embryo transfer ke bad ke 14 din mei aapki savdhaniyan. Pehle apko khayal rkhna hai ki aap sahi samay pe apna IVF krayein. Jaise ki kayi bar mariz 10 saal, 15 saal, shaadi ke baad bhi chizon ko talte rehte hain.
Jis se unki umar badhne ke baad success hone ke chances kam ho jate hain. To IVF ka chunav aap jaldi kar lein. Aap apne sharir ki har chiz pe dhayan dein. Vitamin deficiency, anemia ko pehle treat kar lein. Aur teesra apne pelvic organs ke aas paas jo bhi problem ho unko thik kara lein. Aapke andedani mei endometriosis ya kuch or bimariyan hain, inko pehle settle down karen. Ab baat aati hai ki apne IVF kara liya aur baad ke 14 dino tak apko kya savdhaniyan leni hai. Kayi baar mariz aur unke parivaar jan ye kehte hain, ki hum to inko bistar se uthne nhi denge, ye bilkul leti hi rhegi 14 dino tak, taki we can get the results. Lekin aisa krne se aapka mansik tanav aur badhta hai. Studies batati hai ki aap apna dincharya jaisa tha, vaise rakh sakte hain. Bss apko physical stress nhi lena hai. Dusra religiously aapko medicines follow karni hai. Aisa karne se aapka hormonal imbalance nhi hoga.
Bleeding ke chances kam honge. Or success results hume ache milenge. Infection se apna bachav krna hai. Bahar ka khana, bahar ka toilet use krna, peshab bahut der tak rokna, in sab chizon par pura dhyan dein. Agar aapke peshab mei thodi bhi jalan ho to use thik kra lein. Kyuki urinary infection bhut bada cause hai ki apka embryo apni jagha pe transfer nhi ho pata hai. Aur inhi sare nirdeshon ke sath me aap sab ko shubh kamnayein dungi, ki apko bhi happy family mile. Jitne bhi infertile couples hain, vo aaj ke vigyan ke tarikon ko use kr ke jld se jld mata pita banne ka sukh prapt kren.
Thank you!