Male Infertility
The causes, symptoms and Homeopathic treatment for Male Infertility
Namaskar main Mumbai se Dr Shirish C Malde. Aaj aapko male infertility yaani purusho mein hone wali baanjhpan ki samasya ke baare mein aapko kuch batana Chahoonga.
Aksar Hamare samaj mein pehle se hi ek aisa ravaiya raha hai ki Jab bache bache Paida nahi hote Kisi couple ke to hamesha hi istri ki taraf ungli uthaayi jaati hai. Uski treatment, investigation saare istri k hi karaye jaate hai. Kai case me baccha nahi hone k kaaran purish dusri shaadi bhi kr leta hai. Or kabhi kabhi aise case me samasya jyo ki tyo rhti hai. Kyunki aise case me samasya istri me ni lekin kabhi kabhi purusho mein bhi hoti hai. Ye samasya ko purusho ki wajah se Hone Wale baanjhpan ya male infertility Kaha Jata Hai. Iski mukhya teen Wajah hoti hai. Ya Sambhog ke dauran Purush Apna veerya istri ke Sharir Mein barabar aaropan nahi kar pata hai.
Ya kabhi kabhi Purush ke shukra jantu me yaani veerya mein kuch kharaabu hoti hai, Jis wajah se wo Baap Nahi main samarth nahi hota toh sambhog mein agar koi takleef hai Jaise ling Main barabar Khadapan nahi aata hai ya veerya patan bahut hi jaldi ho jata hai aise cases Mein Hum Pehle bhi dekh chuke hain ki kya treatment leni chahiye. Uske liye aap dusra video Mera dekh sakte hain. Abhi hum jo hum Dekhenge Ki veerya Mein jo Kami hai ya pareshani Nazar Aati Hai to usse Kaise Hal Kiya jata hai. Treatment Mein sabse phle Pehle pursho ki poori Jaanch hoti hai. Uske biolangik abhiavavya ang hai uski tapaas hoti hai. Agar andkosh ka sahi se Vikas nahi hua hai toh kyu nahi Hua Hai Iski Bhi jaanch ki jati hai.
Kuch cases mein hormones ki bhi investigation Hona zaroori hai aur sab se mahatvapoorna Veerya ka laboratory testing karna. Aap Ko Yeh jaankar hairaani Hogi ki striyo mein bahut si testing Ki Zaroorat hoti hai aur Akshar Kafi test mein hospitalization bhi zaroori Hota Hai. Jab ki purusho mein aisa nahi hai. Purusho mein takreeban 80 percent investigation semen analysis yani Veerya ki tapaas se ho jati hai aur wahi par khatam ho jati hai. Agar Purush jo veerya dene Jata Hai laboratory me tab bhi usse kuch Baatein Dhyan mein rakhni chahiye. Kai baar pressure ki wajah se matlab maansik pressure ki wajah se woh laboratory Mein Dhatu nahi de pata hai. Toh aise case Mein Hume usse sahi dhngse guidance Dena zaroori hai. Jab wo apna sample deta hai wo laboratory Mein To Shaam ko jab report Uske Haath Mein Aati Hai, Tab us report mein kuch do teen cheez hoti hai Sabse pehle hai shukranu ki sankhya aur doosri sukranu ki gatishilta Kaisi hoti hai. Ye dono hi cheeze bde maine rakhti hai, prusho ki unki jo capacity hai, fertility capacity Woh in cheezo ka dhyaan rakhti hai. 2 sperm count jo hai World Health Organisation ke manual ke hisab se 20 million yani 2 crore per ml of semen Hona zaroori hai. Agar count is se kam hai Toh us Purush ko aur kuch test ki shayad jarurat pad sakti hai Kyunki come Count me baccha karna Mushkil Hota Hai aur dusra hota hai shukranu ki gatishilta.
Takriban 50 pratishat sukranu ki jo gatishilta hai vo acchi hone chahiye Aur Yeh forward progressing hone chahiye. Agar gatishilta kaam hai aur mrit shukranu jyada hai ya bilkul movement nahi karne wale sukranu jyada hai Toh aise case maybe kuch aur tapaas Ki Zaroorat hoti hai aur Jaise Karan Milte Hain us hisaab se treatment Hona zaroori hai. Physical examination Mein Ek Aur baat dhyaan ki Jati Hai Wo hoti hai varicocele. Kuch purusho ki jo shukranalikaaye hoti hai wahan or rakt purotak krne wali jo nalikaaye hoti hai, rakt vahini hoti hai wo kabhi kabhi fool jaati hai. Jis wajah se andkosh Ke Aas Paas ka tapman Bad jata hai aur wahan par Bhi sukranu ki sankhya Mein ya gatishilta mein kami Aati Hai aur Aisa kuch paya jata hai to uska Doppler test Kiya jata hai Aur Us hisab Se Purush ko kabhi kabhi Ek chota sa surgery karna padta hai Jahan Par fooli hui nase Hai Woh bandhi Jati Hai Taki Jo badne wala temperature Woh normal Rahe. Is vericocele operation ke baad takriban 50 pratishat Purusho mr count me vridhi aur gatishilta may bhi vriddhi Aati Hai. Kabhi kabhi Aise Bhi cases aate hai jaha par sukranu Sabhi mrit Hote Hain ya kabhi kabhi Aise Bhi cases hote hain Jahan veerya me shukranu ki sankhya 0 hoti hai. Isse azoospermia Kehte Hai. Azoospermia do Tarah Ke Hote Hai medical azoospermia aur Surgicals azoospermia.
Surgical azoospermia me shukranu ka jo pathway hai woh Kahi na Kahi block Hota Hai Jis Se Shukranu andkosh me taiyar Hote Hai Lekin bahar nikal nahi paate hain. Aur aise kaise Mein Ek Choti si surgery operation hoti hai Jis Se Ek bypass banaya jata hai jaha par rukawat ho aur Is Tarah Se Rasta open kia jata hai jisse shukranu Bahar Aa Jaye Aisa treatment Kiya jata hai. Dusri jo samasya Hoti Hai medical azoospermia Jis me sukranu Sharir Mein Banta Hi Nahi Hai aur Issi wajhe se Woh Bahar Nahi Aate Hain Kyon Ki Banti Nahi Hai. To Aise case me bhi us couple ko doctor ko mil kar ke is Samay aur aage kya karna chahiye uski Jankari leni chahiye.
Aajkal technique or facility Itni achi ho rahi hai ki aise Mein Logon Ko Mandir ja kar ke Mannat Hai Karna 1 apne aap Mein Shraddha ka Vishay hai lekin uske saath mein hai medically bhi unhone poore test Karke kaaran kya hai bachcha nahi karne ki iska test karna chahiye aur Khaas Karke purusho ko Apna ego side mein rakh Kar Ke is test ko Lekar ke aage badhne chahiye Kyuki purusho ki jo samasya hoti hai vo kai baar bahut hi kam kharch Main Aur bahut hi jaldi sulajh Jati Hai. Aur Aisa Na Ho ki Purush ki samasya ke liye bahut Baar stri ko test or investigation ke liye Jana pad raha hai aur isliye gents couple ko bachcha nahi theherta Hai shadi ke 1 saal paschaat bhi normal Sambhog hone ke bawjud bhi bacha nahi theherta hai toh unko sabse Pehle Purush Ka tapass hona chahiye.
Agar koi problem hai to usse Jaldi Hi clear kar sakte hain. Uske bawjud bhi bachcha nahi theherta Hai Toh Phir Stri ka tapass karne chahiye. Yahi Sahi protocol Hoga aur couple ko isme bahut hi jaldi safalta prapt Hogi. Is topic par aap kuch aur Jana chahte hain toh aap mujhse Sampark kar sakte hain www.lybrate.com. Ye ek mobile mein app bhi hai aur platform par available hai ya phir website par aap visit Karke aap aur Jankari de sakte hai aur mujhse baat cheet kar sakte hai. Dhanyawad.