Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Pilonidal Sinus

Profile Image
Dr. S K Singh, Sushruta Ano Rectal Institute Piles And Fistula TreatmentGeneral Surgeon • 37 Years Exp.M.S. (Ayurveda), Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

I am Dr SK Singh, I did my post graduation in Ayurvedic surgery. I am a surgical specialist in Ayurveda and presently I am running Sushruta Ano Rectal Institute in Rohini, New Delhi. Dosto aaj hum baat karte hain pilonidal sinus rog ke bare mein. Ye rog usually, unn vyaktiyon mein, unn logon main jyada paya jata hai jinki skin pe hairs jyada hote hain, hairy skin mein iss rog ke hone ki sambhavna jyada rehti hai. Hota kya hai pilonidal sinus rog, aap log janana chahenge toh hum uske baare mein batate hain. Pilonidal sinus rog mein peeth ke nichle hisse mein hips ke just upar midline mein ek choti si phunsi hoti hai jisme se kabhi-kabhi discharges paye jaate hain, yeh discharges watery, blood mix, yah puss discharges hote hain aur kabhi yeh discharges hote hain aur nikalne ke baad kai baar yeh phunsi phul bhi jati hai. Kuch dino tak ye sukhi rehti hai lekin dobara phir isme discharges hote rehte hain. Is tarah se off and on discharges or ye phunsi ka honaa woh bhi peeth ke nichle hisse mein, iss rog ka pilonidal sinus ka pradhan lakshan hai. Jyada tar baccho mein school going baccho mein ya college going youth mein yeah padhan roop se dekha jata hai, aur is rog ki prarambhik avastha mein iske bare mein jankari jyada ho nahi paty hai kyunki isme phunsi hui aur puss nikal gaya thik ho gaya phir kuch din tak pada raha, off and on iss taranh se chalta rehta hai. Agar hum time rehte pilonidal sinus ka treatment hum nahi karte hain toh kai baar isme branching pattern ho karke ek multiple sinus bhi ho sakta hai. Ab hum baat karte hain pilonda sinus rog ka ilaj kaise kiya jaye. Aaj kal is Rog mein aap homeopathic, Ayurvedic, allopathic koi bhi medicines khaate hain, medicine treatment is not the treatment of choice, kyunki yeh dawa khane ke bawjud is rog ke dobara hone ki sambhavna bani rehti hai. So next treatment is, usually doctor isme surgery recommend karte hain, the patient is go for the surgery operation z-plasty karate hain. But isme bhi surgery ke baad bhi is rog mein around 15 se 20 percent cases mein dobara hone ki sambhavna rehti hai. Jabki ayurved mein kshasutra chikitsa dwara iska ilaj puri tarah se sambhav isme dobara hone ke chances nahi rehte aur isme surgery ki zaroorat nahi padti hai. Pilonidal sinus mein kshasutra ilaj kaise karte hain uske baare mein pehle hum sinus ko probing ke zariye ya sinogram ke zariye uss tract ko hum define kar lete hain, sinus ko define kar lete hain. Uska kya depth hai, uska kya direction hai, uska kya prachin pattern hai, aur ek baar ye humne isko finalize kar liya iske tract ke baare mein.Pphir uske baad usme medicated thread ya kshasutra ko place k iya jata hai. Under accepted precaution woh thread place hone ke baad phir patient ka apna ghumna-firna, chalna-phirna sab normal rehta hai. But medicine jo hai ek baar thread place kar diya tract mein, toh dawaiyan dheere-dheere thread se tract ke andar dissolve hoti rehti hain, tract ko clean karti rehti hain. Ye medicine jo hai woh 5 to 7 days mein khatam ho jati hai, so thread has to be replaced. Isko her week ek naye thread se replace kiya jata hai dheere dheere yeah tract apne aap clean hota jata hai, sath sath heal up hota jata hai. Aisa dekha gaya hai ki kshasutra chikitsa mein jo pilonidal sinus hai woh tract 0.5 to 1 cm per sitting, yani per week ke hisab se yeh heal up hota hua aata hai. Aur iss tarah se bugair operation iss rog ko hum Ayurvedic kshasutra chikitsa ke dwara puri tarah se thik kar sakte hain. Aur isme dobara hone ke chances nahi rehte hain.

Therefore, in cases of all patients who are suffering from pilonidal sinus say no to surgery, go for specialised ayurvedic ksharsutra treatment. Adhik jankari ke liye aap lybrate ke through contact kar sakte hain aur visit the site www.ayurcure.com. Thank you very much.
 

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Pilonidal Sinus treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details