Respiratory Illnesses And Diseases
Hello Everyone!
This is Dr. Manish Sahu.I'm a pulmonologist. I am a generalphysician practicing in Sector 104 Noida and Sector 61Noida.
Aaj mein kuch baat aapko is video ke madhyam se kehna chahta hu especially being a chestspecialist main kuch respiratorydisease ke baare me aapko batana chahta hu . Jaise ki aapne suna hoga asthma Jise hindi me dama kehte hai, ye bohot common misconception ki ye theek ho jata hai ya kabhi kabhi dawai leni padti hai. Mein aapko ye baat batana chahta hu ki jis tarah se diabetes andhypertension jisko sugar ki beemari or blood pressure ki beemari bolte hai isme aapko dawai puri jindgi leni padti hai aise hi asthama ka koi puri tarah se ilaz nahi hua.
Aapko iski dawai leni padti hai, aapko isko control me rakhna padta hai. Issi tarah tuberculosis ke baare me ek baat mein aapko batana chahta hu. Generally logo ko lagta hai ki tuberculosis sirf lower class ke logo me paaya jata hai ya gareeb logo me paaya jata hai but esa kuch nahi hai. India me tuberculosis bhot jyda matra me paaya jata hai or ye kisi ko bhi ho sakta hai mein aap kisi ko bhi. Aur asal me ye sirf ek lower socioeconomic status me paya jata hai. Ye higher socioeconomicstatus me bhi paya jaata hai lekin there is one thing ki hum Delhi NCR area me rhte hai.
Main aapko batana chahta hu ki aaj kal jo pollution levels hai yaha pe ye kafi dangerous hai or aapko pata bhi nahi hai ki ye aapke lungs ko kis tarah se effect karte hai. From past one and half year practicing in Noida and Delhi I can tell you about ki jin logo ki ye khasi ki beemari 5 din me theek ho jati thi ab ise theek hone me 10-15 din lagte hai. Theyneed more consultation, more money, moremedications and still they are nottotally relief. So these are the thingsthat is affecting our lungs, the pollution theparticular matters. So you have to takecare of that and you have to take some precautions.
And then there is onetopic called sleep apnea jo aaj kal bhot jyada chl raha hai. Sleep apnea kya hai jab ham sote time kharate lete hai bohot to hamari neend kabhi kabhi beech me udti hai isme neend ke jyada tutne se hamare heart pe bhot jyada pressure padta hai or isme diabetes hone ki chances jyada hoti hai. Diabetes heart pe stroke hone ke chances jyada hote hai, cardiac disease hone ke chance jyada hote hai to ham sleep studies karke aaj kal dekh lete hai ki kiski sleep kitni hai uski remedies kitni hai.
Agar apki koi bhi query hai, agar aap consultation chahte hai to mera clinic Sector 104 me bhi hai, Sector 61 me bhi hai.