Stroke - Causes And Symptoms
Hi,
I am Dr. Vikas Bhardwaj, Neurosurgeon. Today I will talk about stroke. Stroke ke 2 types hain. Ischemic stroke - Isme brain ki kuch nerves band ho jati hai and brain ka kuch hissa damage ho jata hai. Hemorrhagic stroke - Isme BP high hone ki vajha se nerves fatt jati hain. Isme brain me khoon ikatha ho jata hai. Ye bahut he dangerous problem hai. Ischemic stroke me brain ka part black ho jata hai or hume check krna pdta hai ki ye problem brain me kha hui hai. Patient ko eyesight me problem hoti hai, hearing me problem hoti hai or physical strength kam ho jati hai.
Hemorrhagic stroke me ye brain ke andar hote hain. Or ye vhan hota hai jhan nerves patli and choti hoti hai. Agar iska amount 30ml se kam hai to ye medicines ke through thik kia jata hai. Patient 1-2 weeks me thik ho jata hai. Kabhi problem itni badh jati hai ki patient ko ventilator ki jrurat pdti hai. Agar hum patient ko timely treatment nhi dete hain to patient ki death ho skti hai. Koi bhi stroke ho, isme patient ke brain damage part paralyze ho jata hai. Or ye time ke sath sath improve hota hai.
Is stroke me prevention bahut matter krta hai. Isme apko BP and cholesterol dono ko normal rkhna hota hai. Oily food avoid kren. Seeds oil ko use kren and refined oil ko bilkul na use kren. Diet me aap spicy and fried food na khayein. Exercises timely kren. Daily apko 1 hour chalna hai. Is se apka cardiac profile acha rhega and BP bhi apka normal rhega. Exercise krne ke liya Dr. se pehle jrur consult kren quki jo part brain ka paralize hai uske liya decided timings hote hai ki kitni der apko exercise krni hai.
For any help or query, you can contact me through Lybrate.
Thank You.