Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Apr 02, 2024
BookMark
Report

Stroke: Causes & Symptoms

Profile Image
Dr. Rakesh KumarNeurologist • 26 Years Exp.DM - Neurology, MD - Medicine, MBBS
lybrate_youtube

Namaskar!

Mai Dr. Rakesh Kumar, MBBS, MD, DM, Neurology profession, Consultant Neurologist, Yashoda Hospital and Brain Clinic. Aaj apko stroke ke bare me kuch btaunga. Iska mukhye lakshan achanak sharir ke kisis hisse me kamjori aa jana ya achanak lgatar ulti shuru ho jana. Lagatar chakkar aate rehna ya gambhir or bayankar sir me dard hona stroke ke lakshan ho skte hain. Basically stroke 2 parkar ka hota hai. Ek ischemic stroke joke dimag me khoon ki kami ki vjha se hota hai or dusra hemorrhagic stroke joki dimag me khoon ki adhik matra yani nus fatne ki vjha se hota hai. Stroke ke mukhye karan diabetes, hypertension, high cholesterol, alcohol ka sewan ya fir smoking ya fir kbhi sharir me chot lgi ho ya fir brain ki nason me abnormal parivartan ho.

Yadi hum upchar ke bare me charcha kren hemorrhagic stroke yanike, dimag ki nus fatne ka mukhye upchar hai, patient ko bharti kra jaye or yadi hemorrhage chota ho to OPD me treat kia ja skta hai. Admit krne ka baad uske blood pressure ko bhali bhanti control kia jata hai. Or hemorrhage ki vjha se jo bhi complications ho rhen hain jaise hath-pair me koi kami aa jaye to uski physiotherapy ki jaye. Usko khane peene me kami aa rhi ho to uska dhyan rkha jaye. Anyatha pneumonia ho skta hai. Kisi bhi ghav ka proper ilaj kia jaye. Yanike jo bhi complications hon use thik kia jaye. Ischemic stroke yanike dimag me khoon ki kami ke bare me to ye dimag ki nason me khoon ki kami ki vjha se hota hai. Ye blockage chahe vo heart se gya ho, chahe veh galle ki nason se gya ho, ya dimag ki nason me ho, vo khoon ko bnad kar deta hai. Aise patients ko turant bharti kraya jana chaiye. Or unka CT scan krana chaiye.

Or CT scan se ye dekhna chaiye ki dimag me koi bleeding to nhi hai. Iske baad ek special injection lgaya jata hai joki kewal 4.5 hours me hi lgaya ja skta hai. Yadi 4.5 hours se jyada ho gya ho to or bhi vidhi hai jaise khoon me direct injection lgane ka ya fir surgery ke dwara us clot ko remove kia ja skta hai. Yadi hum bachav ke bare me charcha kren to sabse pehle humko niyamit roop se vayayam krna chaiye. Khane me namak ki matra ko kam rkhna chaiye, sugar or blood pressure ka proper ilaj krana chaiye or samay rehte doctor se check-up krna chaiye. Cholesterol ka ilaj krana chaiye. Isis parkar smoking, alcohol ya or koi bad habit ho to use avoid krna chaiye. Quki ilaj hi stroke ka sarawotam ilaj hai.

Dhanywad!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Stroke treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details