Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Health Query
Share
Bookmark
Report
Hello, 10 year ho gye is anxiety and depression ko. Day by day aur kharab ho rha. Aisa lgta hai ki din kam bche h mere lekin suicidal thoughts nahi aate wo nahi krna. Daily jindagi ko bojh ki trh jita hu mai. Pura din soye soye nikal deta hu. Kaam krta hu office me but na hi mujhe khali baithna psnd na hi job krna. Koi bhi job me man ni lgta. Dosto ya ghrwalo se baat krne ka bhi mn ni hota infact mujhe yaad hi ni rhta call krna. Saara kaam hadbadi me krta hu. Agr call bhi krta hu office me client ko to bina dhang se baat kiye 2-3 min me nipta deta hu call. Dher saari chize puchna bhul jata hu. Hmesha overeating krta hu aur itni tezi se khata hu ki haath rukte ni. Job ki soch ke bechaini hoti rhti. Koi bhi kaam me confidence ni h mera. Kya krna h life me, kaun si job krni, kis chiz ke layak hu kuch ni pta. Kuch bhi krne ka mood ni. Engagement tod chuka hu 2 baar wo bhi an instant pr jb 1 month rh gye the shadi ko. Koi feeling ni h mere andar. Kisi ko bhi khone se dar lgta. Dwa chl rhi anxiety ki 9 months se pr kuch khas frk ni pda. Every month 7000 rs ke aas pas dwa aur appointment me chle jate. Phir bhi manage kr rha. But ab himmat haar rha. Kahi phir se dwa leni band na krdu kyuki aisa 2 baar hua h jb maine doctor ki dwa bnd kr di ho. Ek psychologist se session chl rha tha. 2 session attend kiya uske baad ni gya. Ek saath psychiatrist aur psychologist ka financially manage ni ho pa rha. Gharwalo ko ye bimari ni lgti unke hisab se kuch ni hota ye sb. Mt socho. Itna to mujhe bhi pta h ki nahi sochna negative pr rok ni paa rha. Day to day life me struggle kr rha mai. Any suggestion. 4-5 baar medicine change ho chuki. Abhi filhal venpower 100, unidep 300, betapro, tofisern 50, altonil,sove 5 chl rhi. 2 din phle dikhaya doctor ko to bole ki ek baar doctor change krke dekho ho skta h approach me dikkt ho mere. Kindly suggest.
1Doctor Answered
90% (527 ratings)
Ask Free Question
hi, aapki financial situation dekhte hue main suggest karungi ki davaa ke saath aap koi meditation centre join Karen Jaise Brahma kumaris. Vo free hai. Saath mein kisi counselor se milen mahine mein ek baar. Daily brisk walk Zarur Karen 40 minutes ke liye. khoob paani piyen. Aur help ke liye aap Lybrate par mujhse text counselling le sakte hain.
1 person found this helpful
Was this answer helpful?
YESSOMEWHATNO
Take help from the best doctors
Suggestions offered by doctors on Lybrate are of advisory nature i.e., for educational and informational purposes only. Content posted on, created for, or compiled by Lybrate is not intended or designed to replace your doctor's independent judgment about any symptom, condition, or the appropriateness or risks of a procedure or treatment for a given person.
Book appointment with top doctors for Anxiety and Depression treatment
View fees, clinic timings and reviews
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors
posted anonymously
Treatment Enquiry
Get treatment costs, find best hospitals/clinics and know other details