Mam mere 2 tooth kai middle tooth nahi tha isliye caping karwane doctor kai paas gai, mere theeth mai bilkul bhi pain nahi tha doctor nai size liya and caping lega di and uske baad to mera dard itna jyaada hua ki doctor ko caping nikalni padi and docto nai kaha mam aapke tooth bahut hai rct kerni padegi maine kaha aap kerdo rct bas yai pain khatam kero uske baad doctor nai rct kerke filling bhi kerdi but pain itna jyaada hone lega to maine doctor ko call kiya unhone kaha aap kisi bhi pin ya toothpic se wo filling nihal do maine nikal di filling. Mai doctor kai paas fir gai unhone fir tooth clean kiya n fir filling ker di pain gorse hone lega ab wo ka rahi hai wait kero pain khatam hoga to aapko caping ker dungi per mere to dono tooth mai pain ho raha hai. Two months ho gaye iss process ko samajh nahi aa raha kya kero. Abto kaan mai and sir mai bhi dare rahta hai. Please doctor help me.
Ask Free Question
Hello. Jaise ki apne bataya aap ek 3 unit cap lagwane gayin thi. Ab aise me, middle tooth lagane ke liye unhone apke un do daton ko prepare kiya hoga. Matlab chota kiya hoga size me taaki crown ya cap fit ho. Us time pe, apke daant me sensitivity start hui hogi jo cap lagane ke baad bhi nahi gaya kyuki apke daant ko andar tak uss preparation ne affect kar diya. Isliye phir apko rct karwani padi. Ab agar rct ke baad bhi apko dard hai toh apko tablets lene hongi for about 1 week jo pain killers aur antibiotics bhi ho sakti hain. Iske baad bhi agar kam nahi hua toh xray lekar dekhna hoga. Xray ya iopar jo usko bolte hai, vo dekh kar hi aage ka treatment decide ho payega. Agar apke paas xray hai, toh aap online consultation book kar sakti hai mere saath, I can tell ki aage kya kiya jaa sakta hai!
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors