Jab mai kisi se baat krti hu to agar koi word mujhe samjh nhi ata to m dobara poochti hu. Aise hota hai k wohi baat agar next person ne wording change kr k bta di to mujhe aise hota hai k jaise usne phle bola tha same wo hi wording me btae. Nhi to mere mind me wo baat chlti rhti hai k phle usne kya word bola tha. Chahe meaning same ho dono words ka but mujhe phle wala word hi pta chlna chahiye. Fir mera kisi kaam me dhyan nhi lgta thore time k liye bhi wo baat mind se jati nhi hai jb tk m wo baat next person se clear nhi kr leti Phle bhout jyada problem thi ab thori thk hai Phle mujhe ye sb k saath hota tha Lekin ab sirf mere father in law k saath hota hai Jb tk m unse poochti nhi k unhone kya kha tha tb tk mera mind free nhi hota Fer head ache hoti hai Heart beat fast ho jati hai Mind bilkul relax nhi hota Right side jyada headache ki problm hai Phle ye bhi problm thi k agr m kisi ko msg krti thi or wo uska rply nhi krta tha to ye baat bhi mujhe stress deti thi Fir m us prsn se khti thi k apne mere msg ka rply nhi kiya Rply ane k baad sb thk ho jata hai Aise hi baat pta chle k baad ek dum relax ho jati hu Ab msg wali problm nhi hai But ye problm continu hai k baat pta nhi chlti to tnsd rhti hu Fir kuch krne ko mn nhi krta Ab m married hu from 7 months Mujhe bout problm aa rhi hai please help me M clomipramine 50 mg Escitelopram 20 mg le rhi hu But thora fark hai Pr mujhe is se neend bhout ati hai please suggest me something am in trouble.
Ask Free Question
Hi, pahli baat to yah ki aap akeli nahin hain jo aisi samasya ki shikaar hain. Bahut se log aise hote hain jo is prakaar chhoti chhoti baat par pareshaan ho jaate hain. Aap davaai continue rakhe aur saath mein yah sochen ki aapka control to sirf aapke behavior par h doosare ke behavior par nahin. Ho sakta h ki saamne vala busy ho is vajah se time par aapko javaab nhi de sakaa. Hi sakta h ki vah bhool gayaa ho. Jab bhi aap tensed feel karen tab deep breathing karen aur turant ek glass paani pi len aur apne aap ko kisi kaam mein involve karen taaki aapke dhyaan us baat par se hat jaaye. Shaam ke samay joote pahan kar tej chaal se rozana kam se kam aadha ghanta ghoomen. Pet saaf rahe isliye healthy khana khaayen. Yah exercises neend waali problem ko theek karegi.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors